Zindagi Is Tarah - From "Murder"

Zindagi is tarah se lagne lagi
Rang udh jaaye joh deewaron se
Ab chupane ko apna kuch na raha
Zakhm dikhne lage daraaron se

Main tere jism ki hoon parchai
Mujhko kaise rakhoge khud se judaa
Bhool karna toh meri fitrat hai
Kyun ki insaan hoon main, nahi hoon khuda
Kyun ki insaan hoon main, nahi hoon khuda

Mujhko hai apni har khata manzoor
Bhool ho jaati hai insaanon se
Ab chupane ko apna kuch na raha
Zakhm dikhne lage daraaron se

Jab kabhi shaam ke andheron mein
Raah panchi joh bhool jaate hai
Woh subah hote hi milon chalkar
Apni shaakhon pe laut aate hai
Apni shaakhon pe laut aate hai

Kuch hamare bhi saath aisa hua
Hum yehi keh rahe ishaaron se
Zindagi is tarah se lagne lagi
Rang udh jaaye joh deewaron se
Ab chupane ko apna kuch na raha
Zakhm dikhne lage daraaron se



Credits
Writer(s): Anu Malik, Sayeed Quadri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link