Wajah

Bas dede ek wajah
Bhula du mai ye gham saare
Bas dede ek wajah
Mita du mai ye faasle jo tere mere darmiyaan
Bas dede ek wajah
Ki ek dafa sunn ke naam hass du tera
Bas dede ek wajah
Bas dede ek wajah
Yeah

Ab bachi ni hai wajah koi
Aise jeena lagne laga mujhe saza koi
Hai arson se ni saala ghar pe mere hasa koi
Dil hai raazi, voh dhoondhe hai bas raza koi
Aise toote hue dil ki ni hai dawa koi
Kya aisa bhi insaan hota bhala koi
Jis kisam se diye tune mujhe dhoke hain
Laga daga dena bhi hai jaise kala koi
Tujhse na bacha koi

Kaise mai kehdu maaf kiya tujhe
Zakham diye hain tune mujhe aas di this tune phir bhi
Manmaani teri ye toh aaj bhi na ruke
Kal tak paas thi tu mere aur aaj saath bhi na ruke
Yeh sab fame ke liye karta ni mai
Bachpan se dekha trauma toh ab darta ni mai
Yeh sab
Mehnat ka phal hai voh toh badhta hi hai
Aur ab ye gharwaalon se bhi ladka ladta ni hai
Ab toh mai
Badh gaya aage jaise badalta zamana
Zimmedaari ne banaya mujhko ladka hai sayana
Aur ab
Bann gaya hu mai ab iss kalam ka deewana
Inn lafzon mein dhoondha maine hai ab jeene ka bahana
Aisi bachi koi jagah ni hai
Jahan khush bhi rahu mai aur tu bhi khafa ni hai
Tere saath aisi zindagi bhi kamani
Par khushi ka thikana mujhe pata ni

Toh dede ek wajah
Bhula du mai ye gham saare
Bas dede ek wajah
Mita du mai ye faasle jo tere mere darmiyaan
Bas dede ek wajah
Ki ek dafa sunn ke naam hass du tera
Bas dede ek wajah
Bas dede ek wajah



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link