Befikra

Yeh meri raahein hain dhoondhti meri khushiyaan
Manzil ka pata nahin, safar par hoon ab main chala

Paani sa bahta ab rahoon main
Baadalon sang udta main phiroon
Chahe kahin bhi na ho mera thikaana
Main musafir banta ab chaloon

Lekar kahin mujhe le chala safar yeh
Raaste tay karoon jaise karti samundar ki lehrein

Main befikra hoon, hawa sang chala hoon
Zara sa dara hoon, kho na jaaun main kahin
Mere saare sapne rakh ke door apne
Main yoon jo chala hoon, le jaaye raasta ab wahin

Apne hi khoj mein jaane kyun roz main
Khud ki kahani ko soch mein dohraata raha
Aadaton se mohabbat thi jinki
Aadaton mein bas yoon hi main unko paata raha

Haasil jo hua, main usko leke zara
Apni dhun koi bana le chala

Paani sa bahta ab rahoon main
Baadalon sang udta main phiroon
Chahe kahin bhi na ho mera thikaana
Main musafir banta ab chaloon

Lekar kahin mujhe le chala safar yeh
Raaste tay karoon jaise karti samundar ki lehrein

Main befikra hoon, hawa sang chala hoon
Zara sa dara hoon, kho na jaaun main kahin
Mere saare sapne rakh ke door apne
Main yoon jo chala hoon, le jaaye raasta ab wahin



Credits
Writer(s): Dikshant Jadhav
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link