Confessions

Kya ab bhi waqt hai ki main
Maang loon tujhe kisi bahane se
Kya ab bhi waqt hai ki main
Rok loon tujhe door jaane se
Kya dil mein tere ab bhi hai
Kahin jagah Mere liye
Kya ab bhi itna hai khafa
Ke aayega nahi mere manane se
Haan maana
Ho gyi hai bhool
Mera tha kasoor
Haan maana
Tujhse tha main door
Mujhmein tha guroor

Haan meri galtiyon ka tha koi hisab na
Gale lgaya tune pucha ik sawal na
Tune hai nibhaya aakhiri mod tk
Khada raha vahin main
Aaya tere pass na
Haan maine sb gavaya maana kuch kamaya na
Naseeb aisa mera pyaar bhi gawara na
Tune shiddaton se hai nibhaya pyaar ko
Main nasamjh akela kaise dhoondta kinara haan
Haan maana
Ho gyi hai bhool
Mera tha kasoor
Haan maana
Tujhse tha main door
Mujhmein tha guroor

Tu hi bta de
Rahoon kaise tere bina
Ye sard raatein
Bin tere katati hi na
Aakhiri ye ilteja
Bhool meri bhool ja
Dekh tere kadmon pe aake aaj hoon jhuka
Maanta hoon tha galat hai qubool har saza
Bojh mere dil mein jo usko aaj de hata
Haan maana
Ho gyi hai bhool
Mera tha kasoor
Haan maana
Tujhse tha main door
Mujhmein tha guroor

Tu hi bta de
Karoon kaise tera yakeen
Kitni dafa tu
Kahega ye hai aakhiri
Mere dil ki na tune suni
Shayad mere pyaar mein thi kami
Tujhse mujhko shikayat nahi
Tujh mein mujh mein bacha kuch nhi



Credits
Writer(s): Ankit Negee, Vidushi Justa
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link