Jo Tum Mere Ho

Hairaan hoon
Ki kuch bhi na maangoon kabhi main
Jo tum mere ho

Aisa ho kyun
Ki lagta hai haasil sabhi hai
Jo tum mere ho

Jo tum mere ho
Toh main kuchh nahin maangoon duniya se
Aur tum ho hi nahin
Toh main jeena nahin chaahoon duniya mein

Aur nazron mein mere ik jahaan hai
Jahaan tu aur main ab saath hain
Aur wahaan koi nahin, tu aur main hi, haaye

Aur aaoge, aise aaoge
Teri-meri kya yeh raahein yoon judi hain?
Aur raahon mein hi jo tum aayein kabhi
Hum toh pyaar se hi mar jaayenge

Aur aaoge, aise aaoge
Teri-meri kya yeh raahein yoon judi hain?
Aur raahon mein hi jo tum aayein nahin
Hum toh phir bhi tumhein hi chaahenge

Jo tum mere ho
Toh main kuchh nahin maangoon duniya se

Pooche yeh tu
Ki tujh mein main kya dekhta hoon
Jab chaaron taraf aaj
Kitne hi saare nazaare hain

Jaane na tu
Khud ko yoon na jaane kyun
Nazron se meri yahaan
Dekho na khud ko zara
Dekho na, dekho na

Zulfon se, kaise zulfon se
Teri chhupti pyaari-pyaari si muskaan hai
Aur nazrein jhuki, aur nazrein uthi
Toh main kya hi karoon, barbaad main

Tere honthon ko, tere honthon ko
Jinse rakhti mere pyaare-pyaare naam hain
Aur dil ka tere, aur dil ka tere
Ab main kya hi kahoon, kya baat hai

Aur, haan, dekho yahaan
Kaise aayi do dilon ki yeh baraat hai
Par kya khula aasmaan
Ya phir laayi yahaan zoro se barsaat hai?

Chaahe hon chhaaye bhi baadal toh
Chaahein phir bhi tumhein, kya pata tum ko?

Maangoon na kuchh aur jo
Tum mere ho



Credits
Writer(s): Anuv Jain
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link