Jaan-e-Jaan, Pt. 2

Bekhabar yahaan
Phirta main rahaa
Dil-e-naadaan
Baaghi ho chela
Baahon mei teri
Yaadon mei teri
Dil ki sarzamin
Ab toh hai wahin

Mera jahaan ab khwabon sa
Rangeen lag rahaa

Tere hone se hai mere
Din mei chaand jawan
O jaan-e-jaan
Lo keh diya
Muskurahat par toh teri
Hain bahaaren ravaan
O jaan-e-jaan
Lo keh diya

Raahaton ka jaise dariyaa
Ya khayalo ki dagariyaa
Mai jahaan subh-o-sham hu
Subh-o-sham hu
Shayaron ke raaz padhkar
Gul se mehke lafz chunkar
Phir bhi mai naakaam hu
Naakaam hu

Mera jahaan ab khwabon sa
Rangeen lag rahaa

Aankhon ki jaadugari
Na ho sake tarjumaa
O jaan-e-jaan
Lo keh diya

Aankhon ki jaadugari
Ka ghulam ye aasmaa
O jaan-e-jaan
O jaan-e-jaan
O jaan-e-jaan
Ab main tera



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link