Selenophile

Sawaal Kafi Hai Magar
Jawab Nhi
Sapne Kafi Hai Magar
Nayab Nahi

Baat Tujhse Ishq Ki Voh Kr Rha Apne Sapno'n Mein
Kiya Usne Miss Bhi Paraya Apne Apno Main
Kalam Thame Baitha Ranjha Najane Kiss Soch Main
Shayari ke dayare Piro rha Voh Panno Pe
Mizaz Mukhtalif Tera Bakiyoon Main Kam Dikhe
Kehti Hai Kuch Nhi Par Kuch Nhi Bhi Sab Kahe
Sifr se Anant Tak Dil Ki Baatein Jab Bahein
Paigaam Samte Dil Ka In Panktiyoon main sab kahe

Ek Tofa Hai Rakha Hua Najane Kiss Daur Se
Tum Bolo Toh Sahi Voh Sunna Chahe Gaur Se
Do Jism Ek Jaan Bandhe Diloon Ki Dor Se
Dua Kare Khuda Se Dor Tute Na Khin Aur Se
Mubarakh Ho Tumhe Tum Khush Raho Yeh Asha Hai
Door Par Jude Hue Yehi Diloon Ki bhasha hai
Salamat Raho Tum Na Aur koi Abhilasha hai
Alamat Rahi Yeh Yaadein Bas Yehi Ek Nirasha Hai

Hum Diwaanoon Ki kya Hasti Aaj Yhaan Kal Vhaan Chle
Masti Ka Alam Sath Chla Hum Dhool Udhate jahaan chle
Thikaana Na Apna Hai Koi Hum chod Yeh jhaan chle
Kuch Na Rakha Humne Tumhe Diye Jism-o-jaan chle
Tumhari Muskurath Maano Khila Koi Gulab Hai
Kareeb Se Dobara Dekhoon Lgta Koi Khwab Hai
Pyaar Maano Taroon Sa Na Jiska koi Hisaab Hai
Ashaayein Hongi Mukamal Kya Na Iska Koi Jawab Hai

Sawaal Kafi Hai Magar Jawab Nhi
Sapne Kafi Hai Magar Nayab Nahi
Khush Raho Sada bas ek yehi asha hai
Tumhi Roshni Ho, Tumhi Mehtab Bhi



Credits
Writer(s): Jerry The Producer, Kartik Puri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link