Qaid Hai

Tu qaid hai kisi sheher k
Kaanch ki imaaraton mai
Usse bhi zyada tu khoya hai
Kisi ajnabee k khayalon mai

Tu qaid hai iss zindagi
Ki daud mai aur saawalon mai
Usse bhi zyada tu khoya hai
Khwaishein aur muradoon mai

Jis raha par tu chal raha
Unh manzilon se na tera vaasta
Tu chala jaa raha hai
Tujhe dikh hai raasta
Tu kaha gaya?
Yun muskuran kar toh tu mil raha hai par
Kabhi tera unse dil laage na
Tere abhi sau chehra hai
Par kon tu yeh bhi jaana na

Tu qaid hai inn raaton mai
Kisi bewafaa ki bahoon mai
Aur sochta ki aa naa jaya
Yeh mann tera dil ki baaton mai
Tu qaid hai iss soch mai
Koi hoga tera in rahoon mai
Tu naa-samaj chehre parkhe
Dhundta hai matlab kitaabon mai

Tu jiyen jaa raha hai
Iss bhaag-daud mai bhool gaya hai ghar tera
Meh-khano mai bitata hai samaa
Kya tha aur kya tu ban gaya
Kon kehta hai
Hasne se khushiyan rehti hai sada
Khusiyaan toh be-chaini
Aur dard k gaano mai hai

Tujhe kha raha hai akelapan
Teri maut k intezaar mai



Credits
Writer(s): Chirag Purabiya
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link