4 Dost

Hai chaar dost par char sau se kamm nahi
Bas khushiyan baatte hai duniya se hum gham nahi
Hum woh asmaan ke taare Badle jo mausam nahi
Rakhte khwaab dil mein gilas mein bas rum nahi
Sehte the doori fir bhi ankh hote namm nahi
Humse hote humdum, humdum se hum nahi
Sab hume jaante hain fir bhi hum pe cash nahi
Haq se kamane nikle, kisi pe ab aish nahi
Baatein jo karte hu ba hu koi fark nahi
Karte jo rubaru koi jhuta tark nahi
Humse kamm par humpe baate hoti kamm nahi
Aake koi Aghe bole itna dumm nahi
Ek hi thi thali tabse saath mein hum khare sab
Mehnat kari jo milke bangaye sitare ab
Alag hai raaste par saath badhte jaare ab
Hastе jo humpe kabhi, saath milna chahre ab
Kahaan hai pucchte ab ghar mеin tere yaar sab
Has ke kehdiya main aghe badhte jaare sab
Ladhte te the Jo milke yaad karte jare sab
Milne ke bahane dhundte na pare ab
7 samandar paar baitha ek yaar hai
Dusre ka koi aur dost 4 hai
Teesre ke pass waqt hi nahi hai ab
Chautha kya hi ab bataye khair



Credits
Writer(s): Azaad Shaikh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link