Azadi Ka Gehna

Ye aazadi ka gehna jab dharti maa ne pehna
Tab yaad kiya balidaanon ko, un veeron ko
Har disha mein failee khusiyaan, ye parwat, ambar, nadiyaan
Hai pukarti is mitti ke un heeron ko

Aazadi ka ye sapna tha un aankhon ka apna
Aazadi unki mannat, aazadi unki nemat
Jhelein chhati per jo shamsheeron ko

Ye aazadi ka gehna jab dharti maa ne pehna
Tab yaad kiya balidaanon ko, un veeron ko

Zulmon ki kaali raatein gayin
Aage badhe hum, dagar nayi hai, subah nayi
"Sone ki chidiya" kehlaayega
Saare jaahan mein fir apna tiranga lehraayega

Mar mitenge khaatir iske
Sab saath challein mil-jul ke
Failaayein apni baanhein
Aazad watan ki raahein
Badlenge ab to hum taqdeeron ko

Ye aazadi ka gehna jab dharti maa ne pehna
Tab yaad kiya balidaanon ko, un veeron ko
Aazadi ka ye sapna tha un aankhon ka apna
Aazadi unki mannat, aazadi unki nemat
Jhelein chhati per jo shamsheeron ko

Ye aazadi ka gehna jab dharti maa ne pehna
Tab yaad kiya balidaanon ko, un veeron ko

(वंदे मातरम्, वंदे मातरम्)
(वंदे मातरम्, वंदे मातरम्)
(वंदे मातरम्, वंदे मातरम्)
वंदे मातरम्



Credits
Writer(s): Shourya Ghatak
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link