Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai (Extended Version)

Yeh jo halka-halka suroor hai
Yeh teri nazar ka qusoor hai
Ke sharaab peena sikha diya
Ke sharaab peena sikha diya

Yeh jo halka-halka suroor hai
Yeh teri nazar ka qusoor hai
Ke sharaab peena sikha diya
Ke sharaab peena sikha diya

Tere pyaar ne, teri chaah ne
Teri behki-behki nigaah ne
Mujhe ek sharaabi bana diya
Ke sharaab peena sikha diya

Sharaab kaisi, khumaar kaisa
Yeh sab tumhari nawazishein hain
Pilaayi hai kis nazar se tune
Ke mujhko apni khabar nahin hai

Tere pyaar ne, teri chaah ne
Teri behki-behki nigaah ne
Mujhe ek sharaabi bana diya
Ke sharaab peena sikha diya

Tera pyaar hai meri zindagi
Tera pyaar hai meri zindagi
Bas meri zindagi tera pyaar
Bas meri zindagi tera pyaar hai

Mere baad kis ko sataoge?
(Mere baad kis ko sataoge?)
Mujhe kis tarah se mitaoge?
(Mujhe kis tarah se mitaoge?)

Mujhko toh barbaad kiya hai
Aur kise barbaad karoge?
Ro-ro ke fariyaad karoge
Aur kise barbaad karoge?

Teri yeh ada, yeh berukhi
Keh rahi hai humse ke aur pee
Kyun sharaab peena sikha diya?
Mujhe ek sharaabi bana diya

(Mast, mast, mast, saara jahaan mast)
(Mast, mast, mast, poori kaainaat mast)
(Mast seher, mast shaam, mast raat, mast)
(Mast, mast, mast, poori kaainaat mast)

(Mast, mast, mast, saara jahaan mast)
(Mast, mast, mast, poori kaainaat mast)
(Mast seher, mast shaam, mast raat, mast)
(Mast, mast, mast, poori kaainaat mast)



Credits
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Farrukh Ali Khan, Iqbal Kasoori Naqibi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link