Suhana

Hai baarvi ki baat
Uska naam tha suhana
Suhana ke peechhe
Pura jhund tha diwana

Deewanon mein tha ek bada kameena yaar
Bajata tha saala wo band mein guitar

Sunke uska tuntuna
Fisal gayi haseena
Saare launde bole
Bas shakal se hai ye seedha

Par usne suni na kisi ki bhi guhaar
Suhana ko hone laga gadhe se pyaar

Suhana Suhana Suhana Suhana
Suhana ko hone laga gadhe se pyaar

Fir uski dekha dekhi
Maine tuntuna khareeda
Jaise taise karke
Ddlj usme seekha

Saari kitaabon ko karke ek side
Taaron mein ungliyan ghisi subah se night

Umra thodi si badi
Aur aa gayi jawani
Tuntune ke saath
Apni chal rahi thi gaadi

Mili kabhi Raveena mili kabhi Roohani
Par kisi mein baat na thi Suhana wali

Suhana Suhana Suhana Suhana
Koi bhi nahi tha Suhana se Suhana

Maine socha kyun na
Instagram thoda kholein
Husn ki jhalak
Aankhon se zara tatolein

Aankhon ki goliyan gir gayi zameen pe
Suhana ko dekha jo baahon mein Sunil ke

Padhakuon ki bheed mein
Tha chhokra Sunil
Kitabon se leta
Tha duniya ki feel

Bajata tha jab main beech class mein guitar
Wo bolta tha bhai please padhne de na yaar

Bas itni si hi thi
Meri pyaar ki kahani
Na mili Suhana
Na Raveena na Roohani

Saari ki saari baaton ka hai ek saar
Suhana ka bas timepass tha guitar



Credits
Writer(s): Tushar Maithani
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link