Kanha Mere Kanha

Tum aaye, tumne khol diye sab band dwaar is jeewan ke

Tum aaye, tumne khol diye sab band dwaar is jeewan ke
Tum aaye, tumne mita diye sab andhkaar antarmann ke
Tum thumak-thumak ke chalte ho mere ghar ke is aangan mein
Tum apna he to chura rahe navneet yahan Virndavan mein

Ho Kanha, Nandlala
Ho Kanha, ho Shyama
Ho Kanha, Nandlala
Ho Kanha, mere Shyama

Tum bandh rahe ho mohpaash mein Gita paath sunane ko
Tum murli ki dhun suna rahe, vairagya mujhe samjhane ko
Tum khel khelte, mujhe khilate pal-pal is kridasthal mein
Aur khel-khel mein ungli per Govardhan giri uthwane ko

Ho Kanha, Nandlala
Ho Krishna, ho Gopalla
Ho Kanha, Nandlala
Ho Kanha, ho Shyama

Tum kabhi lipat'te prem-sneh mein, kabhi jhidakte, samjhate
Tum kabhi charan ko dho dete, rath ko mere daudaate
Tum kabhi raag ki pichkaari ban Braj mein mujhko rang dete
Tum gyaan ka mahakumbh ban mujhko dubki lagwaate

Ho Kanha, Nandlala
Ho Krishna, ho Shyama
Ho Kanha, Nandlala
Ho Kanha, ho Shyama

Jo mujhmein hai, kya mujhmein hai? Jo mera hai, kya mera hai?
Kyun aaya hoon? Kya karne ko? Tumne mann ko yuun ghera hai
Jo yuddha hua to apno se, jab dwandwa hua tab apne se
Main jisko antim samajh raha, wo aadi-aant ka phera hai

Ho Kanha, Nandlala
Ho Kanha, Nandlala
Ho Krishna, Shyama
Ho Kanha, Nandlala



Credits
Writer(s): Ashutosh Agnihotri, Shreyas Puranik
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link