Gustakh Dil

Aye dil, aye dil, aye dil, aye dil
Aye dil, aye dil, aye dil, aye dil

Gustaakh dil, dil mein mushkil, mushkil mein dil (mushkil mein dil)
Gustaakh dil, thoda sangdil, thoda buzdil

Dard ke dar pe thehra hai kyun?
Sazaein-sazaein ye khud ko kyun deta nayin?
Hansne ki dhun mein rota hai kyun?
Sahi kya, galat kya, ye kuch bhi samajhata nahin

Gustaakh dil
Dil mein mushkil
Mushkil mein dil
Oo, gustaakh dil

Aye dil, aye dil, aye dil

Hai barf si saanson mein, aankhon mein dhuaan-dhuaan (dhuaan-dhuaan)
Ye har pal kyun khele hain gam ka, khushi ka jua-jua?

Ye ummeedon bhara
Ye khud se hi dara
Sulajhe dhaagon mein ulajhaa hai kyun?
Salahein-salahein ye khud ki bhi sunta nahin

Gustaakh dil
Dil mein mushkil
Mushkil mein dil
Ho, gustaakh dil

Kyun baaton hi baaton mein fisalti hai zubaan-zubaan? (zubaan-zubaan)
Kisi se na thehrti hai, behekati hai nigaah-nigaah

Ye kaise, kab hua?
Ye keh do, kyun hua?
Girta nahin to sambhalta hai kyun?
Jhukae-jhukae magroor jhukta nahin

Gustaakh dil
Dil mein mushkil
Mushkil mein dil
Gustaakh dil



Credits
Writer(s): Amit Trivedi, Swanand Kirkire
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link