Iraada

Zindagi mein milay gham thoray ziaada
Ye tootay na dil tabhi dil nahi lagaata
Hai sab se barhke mjhe teri khushi
Mera jeenay k khaatir marnay ka iraada
Maangein dua jese tootta sitaara
Haal jesa bhi kartey hum shukar Khuda ka
Mein dekh sakta tujhe nahi kabhi dukhi
Hum kartey pura jo bhi kartay hum vaada

Kabhi socha nahi tha ye sab kbhi sach hoga
Mjhe laga zinda bachna bhi luck hoga
Aagay barhun larun dunya se roz
Apnay kandhon pe leke chalun bojh jese barson ka
Agar ajaye maut mjhe kal subah
samajh lena meine kardia qarz pura
Log kehte idhar maujzay nahi hotay
Agar sach hota esa tw mein kaafi pehle mar chuka
Hairat-angez, badalta bhes
Waqt jese reit
Phisley kaafi tez
Rukta nahi dekh
Lagi jese race
Log bantay hein neik
Par asal mein snakes
Apnon ko dastay
Apnon mein phastay
Mehangey libaas magar log baray sastay
Maamlay sangeen lagay dur se rangeen
Meri chat aasmaan ghar ye zameen
Mera Rab pasbaan han mein rakhta yaqeen
Aaj se 10 saal pehley meine dekha tha dream
Meine kahin baar socha ke mein chor dun par nahi
Mera kia haal hota agar chor deta wahin?
Apni madad aap kara
Koi nahi tha tb saath khara
Dekha tha ek khwaab bara
Jiske liye din raat lara
Umar beshak choti magar kara meine kaam bara
Jhela kaafi kuch tabhi aaj mera naam bana
Aaj zara dekh
Kitnon k dilon mein basa hun mein
Nasha hun mein
Jese bebas ki himmat ki waja hun mein
Jese tootay huay dilon ki sada hun mein
Nahi paray farq koi jitna marzi hate karey
Chaahney waalay beqaraar mera wait karein
Shukar-guzaar Rab ne rehmat se nawaaza mjhe
Mein kalakaar meri kala mera pait bharay

Zindagi mein milay gham thoray ziaada
Ye tootay na dil tabhi dil nahi lagaata
Hai sab se barhke mjhe teri khushi
Mera jeenay k khaatir marnay ka iraada
Maangein dua jese tootta sitaara
Haal jesa bhi kartey hum shukar Khuda ka
Mein dekh sakta tujhe nahi kabhi dukhi
Hum kartey pura jo bhi kartay hum vaada

Lagey zakham magar ruka nahi mein
Bhooka mara magar kahin kabhi jhuka nahi mein
Khuda karey na kisi ka mohtaaj
Be-matlab tw haal bhi koi puchta nahi hai
Mjhe lagta tha mein gunahgaar
Magar mjhse bhi kahin ziyada zamaana kharab
Mere ghar ko lagayi mere apnon ne aag
Meine zindagi bitayi leke sapnon ki aas
Puri kari meine mjhpe jo bhi zimmedaari
Mjhe haarnay se behtar lagay maut meri pyaari
Meine mujrim ki zindagi road pe guzaari
Mein dubaara wese jeesakta laut k nahi jaani
Jaan phir meine dao pe laga di
Apni bachi kuchi daulat saari yaar pe lutaa di
Jo gaye kabhi laut k nahi aye
Intizaar kiska hai?
Tujhe kesi ye khumaari?
Chorde tu logon se umeed rakhna
Bus tera hai tu or tu hi sabka
Karega tu pura apna har sapna
In choti moti mushkilon se mat ghabra
Rakh dil gurda ya phir dil murda
Dekh darnay se hoga nahi koi faida
Hotay tw sab cheezon k kuch asool
Bus mohabbat or jang mein nahi koi qaida



Credits
Writer(s): Nabeel Akbar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link