Jeene De Na

Zindagi, ae zindagi
Gham na de, ae zindagi
Na jala haathon ko yoon
Chhoone de koi khushi

Qismat ne yoon chhoda humein
Sheesha bana ke toda humein
Zakhmon se hain saansein bhari
Zakhmon ko thoda seene de na

Jeene de na, jeene de na
Zindagi, tu jeene de na
Jeene de na, jeene de na
Zindagi, tu jeene de na

Pal-pal har ek pal sehma hai kyun?
Har lamha kyun hai dara?
Chaand aasmaan pe lagta hai yoon
Khanjar pe dil hai dhara

Pal-pal har ek pal sehma hai kyun?
Har lamha kyun hai dara?
Chaand aasmaan pe lagta hai yoon
Khanjar pe dil hai dhara

Qaatil si kyun har raat hai?
Patthar liye kyun har haath hai?
Zakhmon se hain saansein bhari
Zakhmon ko thoda seene de na

Jeene de na, jeene de na
Zindagi, tu jeene de na
Jeene de na, jeene de na
Zindagi, tu jeene de na

Shikwa karein hum gairon se kya?
Khud se hue ajnabi
Chalne ko aage rasta nahin
Laayi kahaan zindagi?

Shikwa karein hum gairon se kya?
Khud se hue ajnabi
Chalne ko aage rasta nahin
Laayi kahaan zindagi?

Aankhein toh hain, sapna nahin
Iss bheed mein koi apna nahin
Zakhmon se hain saansein bhari
Zakhmon ko thoda seene de na

Jeene de na, jeene de na
Zindagi, tu jeene de na
Jeene de na, jeene de na
Zindagi, tu jeene de na



Credits
Writer(s): Shakeel Azmi Khan, Harish Subhash Sagane
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link