pencil box

Haaaan
Kaise main dhundu tujhko
Sardiyon ki chuti mein
Tu rehti thi gharse dooor
Jab wapas jaate the hum
Bus mein yun saath mein milke
Main jaata is wajah se school
Tere peeche hi baithun jaake
Dekhun main tujhko aise
Gaun main tera hi suroor
Tere baaton ko gaur se main
Sunta hi rehta hun
Aur karta main sabko yun manzoor

Noor
Tera noor
Mujhse door
Dhoondu tujhko tera hai fitoor
Tera noor
Mujhse door
Dhoondu tujhko tera hai fitoor

Haaaan
Haaaan

Das saal pehle
Woh chutti ka waqt
Haath pakadke aaye bus mein
Baithe saath hum
Koi baxa tu thame
Dikaye yeh chamak
Woh pencilon ke dibbo se
Tu zyada aakarshak
Tere baaton mein main uljha
Bus ke uncle aake kehte ke
Tera ghar aagaya
Tu nikalte waqt jo mudke dekhe muskurake
Us hasi ki leher mein, main doobta samay
Jaate waqt dekha seat pe
Tera baxa tha
Paas mere reh gaya
Agle din jab dhoondu main tujhe
Toh tu choda yeh seher
Bin kahe alvida
Aaj bhi kaafi bekarar
Woh amanat hai paas tera hi hai intezaar
Ke kab tu aayegi, gale lagayegi
Aur kahegi tujhse hi hai pyaar woh bhi beshumaar

Noor
Tera noor
Mujhse door
Dhoondu tujhko tera hai fitoor
Tera noor
Mujhse door
Dhoondu tujhko tera hai fitoor



Credits
Writer(s): Aadi Musics, Satyam Badapanda
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link