Shayar

Mujhe Yaad thay, Tere Sawaal Saare
Par tune sunen tak nai mere jawaab saare

Wo Boli Khel hi to hoti hain muhabbaten
Is baar is khel mein shayad aap haare

Han ye sach ha mein haara jan'an
Dil apna Torr kr maine bachaya ha dekho tumhaara jan'an

Har ek Raat likh kr Kehta houn Ye aakhri ha
Agli raat Phir Kiun Likhtaa houn dobaara jan'an?

Kiunke Har raat, naya boj, nayi yaad
Mere Qalam ne Bachaya ha mujhe kayi baar

Kitne Likhr tujhpe gaane Mein Mitaa Chuka houn
Mat pucho mujhse meri jaan, Mujhe nahin yaad

(Kiun k) Mein Nashe me thaa Dard k
Tahajud parhi jabke chore maine farz the

Teri yaad mein guzaara maine janam din
Usi din hi to mara tha mein tere bin

Sirf shayari hi to meri tujhe pasand thi
Mera ghuruur tabse Rab ha Gawah qalam hi

Tere liye maine dekh likhi ghazal puri
Sun lena ye hum dono mein agyi kabhi agar duri

Mera kiun Toot'ta Rab hi jaanta ha waise
Maine to kisi ka bhi dil nahin tora kabhi

Mujhe laga k ye Shayari ha zariya tujhse baat karne ka
Toh maine likhna nahin chora kabhi

Mein to aaya tere paas nahin tha
Door se bhi tujhe kia mein raas nahin tha?

Naraaz tha, mayoos tha, Hairaan tha
Par tere jaane pe udaas nahin tha

Mujhe Pata ha tu mere bina Khush thi
Mein Bhi yehi chahta tha tu Rahe khush hi

Is khel mein Ye shayad Meri Jeet thi
Gawahi nahin de rahaa tujhe kia ye mera Geet bhi?

Par zindagi mein Ja'an
Mein har qadam pe haara
Har zakham pe Namak mere
Bas Qalam Sahaara

Par sanam tumhara bhi to tha na khayaal mujhe
Kuch baaten maine rakhi raaz nai malaal mujhe

Tune hi ghiraya ha bas tu nahin sambhaal mujhe
Ghir jaounga mein jab tu choregi har baar mujhe

To ye hi behtar ha tu chor de
Mujhe Waada samajh apna Jan'an torr de

Sirf shayari hi to meri tujhe pasand thi
Mera ghuruur tabse Rab ha Gawah qalam hi

Tere liye maine dekh likhi ghazal puri
Sun lena ye hum dono mein agyi kabhi agar duri

Mera kiun Toot'ta Rab hi jaanta ha waise
Maine to kisi ka bhi dil nahin tora kabhi

Mujhe laga k ye Shayari ha zariya tujhse baat karne ka
Toh maine likhna nahin chora kabhi

Sirf shayari hi to meri tujhe pasand thi
Mera ghuruur tabse Rab ha Gawah qalam hi

Tere liye maine dekh likhi ghazal puri
Sun lena ye hum dono mein agyi kabhi agar duri

Mera kiun Toot'ta Rab hi jaanta ha waise
Maine to kisi ka bhi dil nahin tora kabhi

Mujhe laga k ye Shayari ha zariya tujhse baat karne ka
Toh maine likhna nahin chora kabhi



Credits
Writer(s): Sameer Asim
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link