Fazaa - Reprise

Fazaa bhi hai jawaan-jawaan
Hawa bhi hai rawaan-rawaan

Suna raha hai yeh samaa
Suni-suni si dastaan
Fazaa bhi hai jawaan-jawaan

Pukarte hain door se woh kafile bahaar ke
Bikhar gaye hain rang se kisi ke intezaar ke
Lehar-lehar ke honth per wafa ki hain kahaaniyan

Suna raha hai yeh samaa
Suni-suni si dastaan
Fazaa bhi hai jawaan-jawaan

Bujhi magar bujhi nahi, na jaane kaisi pyaas hai
Qaraar dil se aaj bhi, na door hai, na paas hai
Yeh khel dhoop-chhaon ka
Yeh qurbatein, yeh dooriyan

Suna raha hai yeh samaa
Suni-suni si dastaan
Fazaa bhi hai jawaan-jawaan



Credits
Writer(s): Guru Dhanoa, Hasan Kamal, Ravi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link