Maa Lakshmi Dasi

Dear friends
Hum sab apni niyati se bandhe hain
Niyati ke kayi arth aapko mil jaayenge
Jaise ki fate, destiny, bhagye, aur iska ek arth aur hota hai
Niyamo se bandha hua

Sanatan ka sabse bada niyam hai, ke aap apne karmo ko hi bhogte ho
Aur ye niyam keval humare liye hi nahi, swayam bhagwan ko bhi isse maan'na padta hai
Dosto, main Shailendra Bharti
Vishnu Puran ki iss katha ke dwara aapko yahi baat batane ke liye aaya hu

Iska kuch saar aisa hai ke kaise ek baar Lakshmi ji ke kaaran Vishnu ji ro pade
Aur maa Lakshmi ko niyati ke kaaran hi ek daasi ban'na pada
Humare ghar mein sukh aur shanti ke liye Vishnu aur Lakshmi ji ki pooja hoti hai
Ghar mein daampatye jeevan mein khushiyon ke liye bhi inn dono ki hi pooja ki jaati hai

Aaj ki kahani kuch iss tarah hai
Vishnu ji dharti brahaman ke liye nikle
Vaise kitne hi purano mein aisa varnan milega
Ke Vishnu ji dharti par regularly rounds lagate rehte hain
Ki sabkuch theek-thaak chal raha hai na?

Shiv aur Parvati ji bhi dharti par brahaman ke liye nikalte rehte hain
Aise hi ek baari jab shree Hari ja rahe thhe
Toh Lakshmi ji ne kaha ke woh bhi unke saath aana chahti hain
Vishnu ji bole, "Theek hai, aap mere saath aasakti hai"
Par unhone ek sharat rakh di
Sharat ye thi ki kaisi bhi paristithi ho, kaisi bhi situation aa jaaye
Par Laksmi ji uttar disha ki aur nahi dekhingi

Ye koyi bohot badi sharat toh thi nahi, so Lakshmi ji maan gayi
Vishnu ji aur Lakshmi ji dono dharti brahaman par nikal gaye
Ab ye baat tab ki hai jab kuch samaye pehle hi khoob jamkar varsha hui thi
Aur dharti hariyali se leh-laha utthi thi
Toh aisi mein chalte hue Lakshmi ji ko ek bahaut hi sundar udyaan arthaath bageecha dikha
Jismein bade hi sundar phul khile hue thhe
Lakshmi ji khud ko rok nahi payi aur unhone uss udyaan ki aur dekh liya

Dekh hi nahi liya, woh uss udyaan ki aur chal di
Aur unhone wahaan par ek phul bhi tod liya
Lakshmi ji vaapas aayi toh Vishnu ji ki aankhon mein aansu thhe
Lakshmi ji samajh chuki thi, ke unse bhul ho gayi hai
Woh udyaan uttar disha mein tha aur woh uttar disha ki aur chali gayi
Vishnu ji ki roti hui aankhein jaise keh rahi ho ke, "Lakshmi, aapne ye kya kar diya"

Vishnu ji Laksmi ji se bole ke woh udyaan ek maali ka tha
Aur uss se bina puche uski sampatti ko chhuna apraadh hai
Lakshmi ji jaan toh chuki hi thi ke unse galti ho gayi hai
Unhone Vishnu ji se shama maangi
Vishnu ji bole ki ye shama woh kaise de sakte hain
Ye toh woh maali hi de sakta hai jiske prati Lakshmi ne apraadh kiya hai

Phir pashchataap ki baari aayi
Aur pashchataap ye tha ke ab Lakshmi ko uss maali ke ghar mein daasi banke rehna hoga
Sochiye, Lakshmi, ji haan, Lakshami
Jinke kaaran hi poori dharti par sukh aur samridhi hoti hai
Apne karam ke kaaran hi woh daasi ban'ne ja rahi thi

Par rule toh rule tha, dosto
Devi Lakshmi ne ek pal bhi nahi ganvaaya
Ussi samay unhone apna roop badla aur ek garib aurat ke roop mein parivartit ho gayi
Apne iss garib roop mein woh uss maali ke paas pahaunchi aur uss'se kaam maanga
Maali ne iss garib aurat ko apni daasi ke roop mein rakh liya

Daasi ke roop mein rakha tha toh kaam bhi daasi ka hi karvana tha
Kabhi woh maali maa Lakshmi se khet ka kaam karvata, toh kabhi bageeche ka
Ghar par bhi maa Lakshmi khaali nahi baith sakti thi
Ghar ke kaamo ko bhi maa Lakshmi ko hi karna padta

Aisa kuch samaye tak chalta raha, par kab tak, kab tak chalta?
Humesha toh chal nahi sakta tha
Ek din uss maali ko sach pata chal gaya
Aur samajh mein aaya ke usne ye kya kar diya hai

Apne kiye pw usse bahaut pachtaava hua aur woh darr bhi gaya
Woh ussi samaye uss garib aurat yaani ke maa Lakshmi ke pairon par gir gaya
Aur apne kiye ke liye shama maangne laga
Kya ajeeb vidambana hai, what an irony
Jis'se maa Laksmi apne kiye ke liye maafi maangne aayi thi
Woh khud bhi maa Lakshami se maafi maang raha tha

Maali ne apni baat rakhi, usne unse jo bhi karvaya woh agyantavash tha
Usse nahi maalun tha ke woh kaun hai, is liye aisa uss se ho gaya hai
Maa Laksmi jaanti thi, ki iss sab mein maali ka koyi dosh nahi
Unhone uske darr ko duur karte hue usse aashvaasan diya
Ke usmein unki koyi galti nahi hai
Kyonki ye sab toh unki apni hi niyati ke kaaran ho raha tha

Balki maa Lakshmi toh uss maali se bahaut khush thi
Kyonki usne unhein apne ghar ka ek sadasye hi samjha tha
Maa Lakshmi uss maali ke vyavhaar se bahaut khush hui thi
Usse sukh aur samridhi ka aashirvad dekar dharti se vaapas Vishnu ji ke paas laut gayi
Unke jaane ke baad uss maali ya uske parivaar se kisi ko bhi
Phir kabhi dukh ya sankat jhelna nahi pada

Toh dosto, ye hai woh adhbhuth katha
Jo humein samjha rahi hai ke humara fate ya destiny kaise banti hai
Humare kiye hue karam hi humare aage ka jeevan decide karte hain
Kayi baar jab bura hota hai toh usse hum bhaagye par daal dete hain
Aur bhaagye ko hi kauste hain, "Humari toh kismat hi kharab hai"
Kismat kharaab nahi hain, bhai, karam kharaab tha

Issi karm ne uss kismat ko banaya hai
Isliye ye har pal, har shan, har samaye aapko sochna hoga
Ke aap jo kuch bhi kar rahe hain
Uss se aapke aage ke samaye ya aage ke janam ki roop rekha taiyaar ho rahi hai
Abhi, abhi kuch aisa kariye, jiss se aapko punye mile na ki paap

Dosto, aap sabhi jaante hain, aur samajhte bhi hain
Ke kaun se ache kaam hain aur konse bure kaam
Toh ache kaam karte jaaiye, abhi ke samaye mein santosh rahega
Aur aane vaale samaye mein bhagye bhi aapka saath zarur dega

Issi asha ke saath, main Shailendra Bharti aapse aagya leta hu
Dhanyewaad



Credits
Writer(s): Traditional
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link