Tu Hai - From "ARM"

Tu hai, tu hai, saagar tu hai
Chalti lehron si

Tu hai, tu hai, saagar tu hai
Chalti lehron si
Baatein sargam, saansien sandal
Kore subahon si

Kaise hum dil ko sambhalein? Pal-pal khaye ye hindole
Jab bhi tu zulfon se khele, haay re
Kabhi tu palkein uthaye, aankhon se moti he lutaaye
Such se aage he jee loon main sapne

Lagi hai, aisi lagi hai, pyaas jagi hai meethi si mann mein
Dil kahe, dil mera kho gaya
Dhuni hai, teri dhuni hai, baaki sooni hain meri to raahein
Jo bhi tha mera, tujhe de diya

Rang hai, sang hai, dang hai, umang hai
Rang hai, sang hai, mann mein tarang hai

Baatein amraayi lage, chhedi parchhai lage
Darti hoon per, na kahin khwaab ho
Thodi si main nibhaaoon, thodi si tu nibha de
Haathon mein haath leke manzilein paayein

Keh de to sham se sinduur leke, taaron ki jaymala bunke
Aaoon tere ghar pe main baraat ko leke
Tu bhi fir chaandni ke jode mein aana, kiron se tu sej sajana
Aise he kho jaayein dono, duniya se kya kaam

Ye jo hain sapne, yahi hain apne
Jaage naino se dekhe hain humne

Tu hai, tu hai, saagar tu hai
Chalti lehron si
Baatein sargam, saansien sandal
Kore subahon si

Kaise hum dil ko sambhalein? Pal-pal khaye ye hindole
Jab bhi tu zulfon se khele, haay re
Kabhi tu palkein uthaye, aankhon se moti he lutaaye
Such se aage he jee loon main sapne

Lagi hai, aisi lagi hai, pyaas jagi hai meethi si mann mein
Dil kahe, dil mera kho gaya
Dhuni hai, teri dhuni hai, baaki sooni hain meri to raahein
Jo bhi tha mera, tujhe de diya



Credits
Writer(s): Dhibu Ninan Thomas, Vikram Edke
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link