Paheli

Kaisi paheli hai yeh? Kaisi kahaani?
Sadiyon se uljhi hai yeh, haath na aani
Kyun lage hain gham-khushi ke mele?
Jaate kyun hain sab yahaan se akele?

Phool khilte hi kyun hain
Jab patjhad hai aani?
Hanste hain hum ya rote gham mein
Kyun aata aankhon mein paani?

Kaisi paheli hai yeh? Kaisi kahaani?
Sadiyon se uljhi hai yeh, haath na aani

Sapna hai yeh ya haqeeqat, koi na jaane
Kya paane ki hai daud mein? Kyun bhaage-bhaage?
Uljhe hain kyun rishton ki uljhanon mein?
Hai pyaar toh kyun kaat'te hain khud pyaar ki dorein?

Jhoothi kyun lagti hain aajkal
Sab ki muskaanein?
Aate kyun hain yaad humko
Kal ke guzre zamane?

Zindagi hai patang ki dori
Toot ke reh jaati hai adhoori
Bhar do rang, reh na jaaye kori
Hans lo thoda, khushi ke pal kar lo chori

Kaisi paheli hai yeh? Kaisi kahaani?
Sadiyon se uljhi hai yeh, haath na aani
Kyun lage hain gham-khushi ke mele?
Jaate kyun hain sab yahaan se akele?

Phool khilte hi kyun hain
Jab patjhad hai aani?
Hanste hain hum ya rote gham mein
Kyun aata aankhon mein paani?

Kaisi paheli hai yeh? Kaisi kahaani?
Sadiyon se uljhi hai yeh, haath na aani
Kaisi paheli hai yeh? Kaisi kahaani?
Sadiyon se uljhi hai yeh, haath na aani



Credits
Writer(s): Siddharth Slathia
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link