Dhadkano Main (From "Martin")

Tu hai qismat ki dua hoo-ba-hoo
Tu hai ya hai aasmaan roo-ba-roo?
Door jitne rahein, saans utni hon kam
Tu chhue toh mile saans ko sau janam
Jism kho bhi gaya toh rooh se tere hain hum

Dhadkanon mein...
Dhadkanon mein tujhe hi sunte hain hum
Dhadkanon mein...
Dhadkanon mein tujhe hi sunte hain hum

Tu hai qismat ki dua hoo-ba-hoo
Hmm, tu hai ya hai aasmaan roo-ba-roo?

Main teri, tu meri parchhaaiyaan
Tu hai toh hain bhari rangeeniyaan
Na jaane kyun aisa lage, mujh mein main nahin
Pheeka-pheeka hai yeh mann, ghul ja ismein tu kahin

Teri aankhon se baandh ke main rakhoon
Yoon khud ka har kinara
Chaahe jannat sa ho koi sheher
Tujh sa nahin nazara

Dhadkanon mein...
Dhadkanon mein tujhe hi sunte hain hum
Haan, dhadkanon mein...
Dhadkanon mein tujhe hi sunte hain hum

Dil ki raahein meri tere paas hain
Hai sab ab bewajah, tu khaas hai
Jo khud se keh na sake, tujhse keh dein kya?
Saagar jitna hai bhara, usse zyada hoon tera

Chaahe raste bhale phoolon-bhare
Meri zameen tu hai
Beshak, raaton pe yeh chanda saje
Sab se haseen tu hai

Dhadkanon mein...
Dhadkanon mein tujhe hi sunte hain hum
Dhadkanon mein...
Dhadkanon mein tujhe hi sunte hain hum



Credits
Writer(s): Mani Sharma, Munavar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link