3 Baje

3 bje raat ki hai
Yaad wahi aapki hai
Aankh nahi maanti hai
Aapko talaashti hai
Baat nahi laazmi hai
Saans badi aalsi hai
Jaan meri kaanpti hai
Khwaab bhi ye laalchi hai
Maa meri jaanti hai
Beta uska aandhi hai
Aandhi pe aanch si hai
Mohabbat ye kaanch si hai
Tootna toh aakhiri hai
Dum chhoote aas ki ye
Maa ne hi baandhi hai
Maut meri taalti hai
3 baje raat ki hai
Yaad wahi aap ki hai
Geet likha aaj bhi hai
Sunne ko aap ni hai
Raat me toh shaanti hai
Subah kaisi kraanti hai
Gham ne hijaab ki hai
Khushi ne sharaab pi hai
Rab se hisaab bhi hai
Jhooth me kharaabi hai
Sach bhi udhaar ki hai
Jhoothi kitaab bhi hai
Dosh sab ke maaf kiye
Soch hi ye paapi hai
Mujhmein bhi khaami hai
Mai bhi toh aadmi hai
Bethikaana rasta hu mai
Ro rula ke hasta hu mai
Haan diwana lagta hu mai
Jo diwana banta hu mai
Yaad bhare na bharta hu mai
Wo purana basta hu mai
Yaad tumhein jo karta hu mai
Toh khuda se darta hu mai
Khud hi khudme uljha hu mai
Phir bhi tujhko suljha du mai
Kaam hai seedha ulta hu mai
Dekh ke tujhko sulga du mai
Naam tujhe yun kiska du mai
Bewafa ka tagma du mai
Mujhko lagaa tha apna tu hai
Ishq me mera sadma tu hai
Hai khuda ki bharpaai
Ke Tu bhi jhele ruswaai
Mai aankh dikha ke chhupta nai
Tu zaalim tu hai harjaai
Hai aankh mein tere tanhaai
Ab kon karega sunwaai
Tu laakh dikha de sachchaai
Meri neeyat nahi lalchaai
Kaise na roun meri maut mere saamne hai
Teri ye yaadein mujhe maare inka kaam ye hai
Khoon ki siyaahi maange kalam ka hi daam ye hai
Likh ke mai ghisu meri saans ka aaraam ye hai
Jo bhi hu mai mere ishq ka anjaam ye hai
Sun ke tu ro de mere geet ka inaam ye hai
Haara hua hai dil ishq mein nilaam ye hai
Aise hi mar jaaunga baat badi aam ye hai
3 baje raat ki hai
Yaad wahi aap ki hai
Geet likha aaj bhi hai
Sunne ko aap ni hai
Raat me toh shaanti hai
Subah kaisi kraanti hai
Gham ne hijaab ki hai
Khushi ne sharaab pi hai
Rab se hisaab bhi hai
Jhooth me kharaabi hai
Sach bhi udhaar ki hai
Jhoothi kitaab bhi hai
Dosh sab ke maaf kiye
Soch hi ye paapi hai
Mujhmein bhi khaami hai
Mai bhi toh aadmi hai



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link