Kasturi (From "Amar Prem Ki Prem Kahani")

Kasturi si hai aadat tumhari
Laage lage naahi chhoote chhudaaye
Paani mein jaise ghulta namak hai
Hai mujh mein tu, bas nazar nahin aaye

Dhaage bina tujhse rooh jud gayi hai
Khwabon mein bhi hain teri silsile-daariyaan

Ek jaisa haal tera-mera
Ishq hai misaal tera-mera
Behne lagi hain aaj, dekho
Reton pe bhi kashtiyaan

Ek jaisa haal tera-mera
Ishq hai misaal tera-mera
Sajne lagi hazaaron khwabon se
Khaali thi jo kabhi palkon ki bastiyaan

Rabb ne banaaye hain rang itne
Teri wafa ka rang sab se surkh hai
Jitni dafa na dhadka hai yeh dil
Utni dafa, yaar, tera zikr hai

Aage tere na nazar koi aaye
Mujh pe chalein sirf teri hi manmaaniyaan

Ek jaisa haal tera-mera
Ishq hai misaal tera-mera
Behne lagi hain aaj, dekho
Reton pe bhi kashtiyaan

Ek jaisa haal tera-mera
Ishq hai misaal tera-mera
Sajne lagi hazaaron khwabon se
Khaali thi jo kabhi palkon ki bastiyaan



Credits
Writer(s): Kunaal Vermaa, Prasad S
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link