Aa Mere Humjoli Aa

Aa, mere hamjoli aa, khelein aankh-micholi aa
Galiyon mein, chaubaron mein, baagon mein, bahaaron mein, ho
O, main dhundhoon, tu chhup jaa

Aa, mere hamjoli aa, khelein aankh-micholi aa
Galiyon mein, chaubaron mein, baagon mein, bahaaron mein, ho
Main dhundhoon, tu chhup jaa

Main aaun? (Na-na)
Main aaun? (Na-na-na)
Aau? (Na)
Main aaun? (Aa jaa)

Peepal ke upar jaa baitha chhup se mera sathi
Dhak se lekin dhadak gaya dil, gir gayi hath se laathi
O, pakda gaya
(O, pakda gaya)

Main aaun? (Na-na)
Main aaun? (Na-na-na)
Aau? (Na)
Main aaun? (Aa jaa)

Panghat ke peechhe ja baithi, chhup ke meri sajaniya
Chhan se lekin anajaane mein chhanak gayi painjaniya
O, pakdi gayi
(O, pakdi gayi)

(Aa, mere hamjoli aa, khelein aankh-micholi aa)
(Galiyon mein, chaubaron mein, baagon mein, bahaaron mein, ho)
Main dhundhoon, tu chhup jaa

Main aaun? (Na-na)
Main aaun? (Na-na-na)
Aau? (Na)
Main aaun? (Aa jaa)

O, mere naino se tu chhup sakta hai, o mere rasiya
Lekin mere mann se chhupna mushkil hai, mann basiya
A, pakda gaya
(O, pakda gaya)

Main aaun? (Na-na)
Main aaun? (Na-na-na)
Aau? (Na)
Main aaun? (Aa jaa)

Kahe luk-chhup ke khel me chhede tu prem ki batiyaan?
Dekh, tamasha dekh rahi hain saare sheher ki ankhiyaan
A, pakdi gayi
(O, pakdi gayi)

(Aa, mere hamjoli aa, khelein aankh-micholi aa)
(Galiyon mein, chaubaron mein, baagon mein, bahaaron mein, ho)
O, main dhundhoon, tu chhup jaa

(Aa, mere hamjoli aa, khelein aankh-micholi aa)
(Galiyon mein, chaubaron mein, baagon mein, bahaaron mein, ho)
Main dhundhoon, tu chhup jaa

(Main dhundhoon, tu chhup jaa)
(Main dhundhoon, tu chhup jaa)



Credits
Writer(s): Anand Bakshi, Kudalkar Laxmikant, Pyarelal Ramprasad Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link