Woh Kya Huye

Ek waqt se jehen me koi baatein kar raha hai
Mai gaur karu toh vo
Mere hi aks hai
Ek banda hai khuda ka
Ek me hai bhari udaasi
Aur ek to bohot hi bura saksh hai
Ek kehta hai ki usko
Nahi padi jahan ki
Ek kehta ke is jahan me dukh hi dukh hai saki
Ek kehta ki sada raho bhale ke tum sathi
Bura koi nahi yaha pe
Bura to waqt hai

Par yeh mujhpe haawi nai
Inn sab se mai upar
Tu bhi bhare pet apno ka
Mai kese tujhse behtar
Umar se bure karm to mai kar chuka hu saki
Mere upar ek hi zaat
Aur vo zaat hai khuda ki
Sikhati rahi zindagi
Fir aa khade ho gir ke
Uski rehmato ke mujhpe
Karz-o-karam hain kaafi
Jab mai khud hi dagadaar
Mujhpe garz kya khuda ki?
Mujhme mera kuch bhi nai
Afsuragi hai baaki
Meri saksiyat hai
Jispe ghum rahe haawi
Dil-e-nadaan
Aur dimaag rahe baghi
Inn baaton se gehre zehen pe ab zakhm hain halaki
Ye jaam mujhpe zindagi ka bacha nahi taki
Zeher ghoot yeh sharaab ka toh peena pade saki

Woh kya huye
Woh kya huye

Sahilo pe jaane wale ab kya huye

Woh kya huye
Woh kya huye

Kafile jo aane walo ke vo kya huye

Woh kya huye
Woh kya huye

Vo Imaratein banane wale kya huye

Akele ghar se puchti hai bekasi
Roshani dikhane wale ab kya huye

Ek saksh hai basta iss zehan me
Karta baatein na woh rehta apne zen me
Ek sakht parinda udta kamm hai
Uspe haavi uske mehaz kuch karam hai
Ek wakt jab jeevan jata tham hai
Aata samajh na hai kitne kabil hum hai
Aajkal badhne lage kaafi masle
Ek rab aur baaki sab bharam hai
Theek hum aur aap bas sharam hai
Mazhab hai
Jo bacha kucha baki bas karam hai
Sabar hai
Hisse likha mere jitna usse zyada ka sabar hai
Adab hai
Yeh kalam jaise khuda ka ho karam
Adab hai
Adab hai
Baki bacha jo woh sab kabar me
Leke marna lala kala ka dharam hai
Charan pe
Mere kaatein aa chuke par gaane gaate na thake
Yeh ladke shaant bhi hai baaghi jaise gandhi aa chuke
Malamaal hona chahe maa ko laa ke dena plate
Bhar 5 star khaana
Jaana france in a plane
Jaidaat jama karni jaise Raichand vaaris ka mai trap shit coke studio me karni bop jaise Faris Sha
Fees dena gaane ka
Reels pe naa aane ka
Nikla ghar se khaa ke keval baap ke mai taane tha
Aaina dikha jo mujhko duniya se daga mila

Woh kya huye
Woh kya huye

Sahilo pe jaane wale ab kya huye

Woh kya huye
Woh kya huye

Kafile jo aane walo ke vo kya huye

Woh kya huye
Woh kya huye

Vo Imaratein banane wale kya huye

Akele ghar se puchti hai bekasi
Roshani dikhane wale ab kya huye



Credits
Writer(s): Manav Mehrotra, Krriid Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link