Lakh Bar Dhikkar Hai Tujhko

Lakh baar dhikkaar hai tujh par, o, nirlajj insaan
Jhuk gaya atyaachaar ke aage tera dharm, imaan

Main nahin maanunga...
Main nahin maanunga maati ke putale ko bhaghavaan
Tum chaaho to kaayar banakar sah lo ye apmaan
Main nahin maanunga...

Jinko bal ka maan hai, unse kah do ye jaakar

"cat saktaa hai, jhuk nahin saktaa kisi ka sar"
Main karthaa hoon aaj bhare bazaar mein ye elaan

Main nahin maanunga maati ke putale ko bhaghavaan
Tum chaaho to kaayar banakar sah lo ye apmaan
Main nahin maanunga...

Mere bhagwan vo hai, jiski rachana hai sansaar

Mere bhagwan vo hai, jo hai saba ka paalanhaar
Us bhaghavaan ke badle kaise le loon ye shaitan

Main nahin maanunga maati ke putale ko bhaghavaan
Tum chaaho to kaayar banakar sah lo ye apmaan
Main nahin maanunga...

Kithne kansa aur kithne ravan is dharti par aaye

Kisi dusht ke aage prabhu ke bhakt naa jhukne paae
Dharm raha hai, dharm rahegaa mrityu par balavaan

Main nahin maanunga maati ke putale ko bhaghavaan
Tum chaaho to kaayar banakar sah lo ye apmaan
Main nahin maanunga...
Main nahin maanunga...

Credits
Writer(s): Sahir Ludhianvi, Dutta N
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link