Khat E Aafiyat

Meri Pyari Ami,

As Salam o Alaikum!
Umeed karta houn ke jese muskura ke likh raha houn
Khat aapko aise muskuraata hua paaye
Aaj socha aapko pyaar bhara khat hi bhej doun
Dil to aapka hamesha dukhata hi tha mein?
Maine suna mujhe yaad karke ro rahi thi aap?
Sabse zayadah jabke aapko satata bhi tha mein
Mujhe aaj bhi ha yaad kese maghrib ke baad
Aap bulati mujhe ghar thi or aata nahin tha mein

Idhar ami koi bulaata nai ha
Chahe laut kar na aaoun saari raat mein
Aap nahin ho to sab samajh ab aa raha ha
Yaad karta houn ab aapki har baat mein
Aapse waise mujhe kuch baaten kehni thi
Khuda jaane kitna dair ha mulaaqaat mein
To mein khat ye likh ke bhej raha houn aapki taraf
Aap ye parh lena ami meri awaaz mein

Mujhe ilm ha ke meri fikar aapko sataati ha
Par ami aap baat meri araam se sunein
Mein bilkul theek houn, or kaam pe lagga hua houn
Dil ko apne youn hi pareshaan na karen
Hum kese bete hounge bhala baba ke batayen
Agar jeena unke liye hum asaan na karen?
Hum aapke liye hi to hain aapse se door
Apna or baba ka zara rakha dihaan bhi karen

Mera bas challe to aaj hi mein paidal chal padoun
Par ye mulk hamare zyada hi kuch door hain
Lekin mein mehnat kar raha houn ke ye doori baaqi na rahe
Ye khat bhi to dekho ami us mehnat ka saboot ha
Mein bhi kabhi kabhi ho jata houn mayus
Phir sochta houn ke agar ye logon tak qala meri jo pohnchne mein dair ho rahi to yaqeenen isme khuda ki hikmat koi zaruur ha

Ab mein betha ghadi dekhta hi jaoun
Waqt ko mein zindagi youn bechta hi jaoun
Itna dil se mein likh to raha houn ye
Par shayad ami ye mein khat kabhi bhej hi na paoun
Pehle bhi to aise kayi likhe khat
Pehle bhi to aapke bina guzaara waqt
Jhoot nahin boloun mein ab bhi kuch chupa raha houn
Najane kiun mein chah ke bhi nahin likhta sab

Khair jaane dein ye baaten saari shayarana
Aap batayen mujhe ghar mein sab theek hain?
Chotay bhai aapki baaten saari maan lete hain?
Ya wo bhi aap batayen meri tarah dheet hain?
Aap ki tabiyat to ab theek rehti ha na?
Mujhe aapki fikar rehti shadeed ha
Mere baare mein hi puchtien hain, apna nai batati
Aapka khat likhna bhi qasam se ajeeb ha

Agle saal jo ab aane wali eid ha
Khuda se chaha to us eid pe mein aaraha houn
Lekin dekhen maine wapis bhi aana ha idhar
To mein aane se pehle ye aapko bata raha houn
Aapne rukne ka nahin mujhe kehna ha mazeed
Ye waada aapka abhi se mein chah raha houn
Aap dekh nahin sakti ha na mujhe to bata doun
Ke mein pehle ki tarah aaj muskuraa raha houn...

Aapka pyara beta,
Sameer.
Allah Hafiz.



Credits
Writer(s): Sameer Asim
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link