Midlife Crisis

Mere Baal Jharr rahay hain
Aur Qarzay charh rahay hain
Dost mujh se Larr rahay hain
Saray Maslay Barhh rahay hain
Kya Yeh Midlife Crisis hai?
Mere Sir main Kaisee Noises hain?
Kya Yeh Zindagi Aisay he Chalay gi?
Sari Meri Apni Choices hain!
Kya Yeh Midlife Crisis hai?
Mere Sir main Kaisee Noises hain?
Kya yeh Zindagi Aisey he Chalay gi?
Sari meri Apni choices hain!
Hain Paisay Kam tu Main yeh Gari Bhi Chalata hoon
Jo Soch main hoon gum to Darhi bhi Khujata hoon
Kabhi Akela hota hoon tu Gungunata hoon
Hain Bachay Pagal tu main Paglon main Rehta hoon
Ajab Khumar hai Main Badalon main Rehta hoon
Jo Mere sath hota hai woh Chup se Sehta hoon
Sab Kamal karahay hain
Hum se Agay Barhh Rahay hain
Hum tu Bhag bhi rahay hain
Phir Wahin pe Kion Kharay hain?
Kya Yeh Midlife Crisis hai?
Mere Sir Main Kaisee Noises hain?
Kya yeh Zindagi Aisay he Chalay gi?
Sari Meri Apni Choices hain!
Kya Yeh Midlife Crisis hai?
Mere Sir Main Kaisee Noises hain?
Kya yeh Zindagi Aisay he Chalay gi?
Sari Meri Apni Choices hain!

Main Achi Body walon se Bhi Thora Sarta hoon
Main Apna Pait dekh Ke Bhi Aahein Bharta hoon
Han Gym bhi Jana hai yeh Roz Khud se Larta hoon
Main Apni Biwi se bhi Thora Buhut Darta hoon
Main man he man main Us se Larta hoon Jhagarta hoon
Jo mere Sath hota hai Woh Chup se Sehta hoon
Jo mere Sath hota hai Woh chup se Sehta hoon
Log Char Karahay hain
Kaisay Yaar Karahay hain
Baar Baar Karahay hain
Hum Sawal Karahay hain
Kya Yeh Midlife Crisis hai?
Mere Sir Main Kaisee Noises hain?
Kya yeh Zindagi Aisay he Chalay gi?
Sari Meri Apni Choices hain!
Kya yeh Midlife Crisis hai?
Mere Sir Main Kaisee Noises hain?
Han Yeh Zindagi Aisay he Chalay gi
Thori Qismat! Thori Choices hain!
Ha hah!



Credits
Writer(s): Ghulam Murtaza Mehdi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link