Prarambh

Sadharan
Yeh shabd kitna sadharan sa hai
Par shayad iss shabd ki saadgee mein hi iski khoobsurati hai

Jiss nirdayata se hum sab iss zindagi mein bhaag rahe hain
Aur jitna zyada apne aap ko anokha samajh baithte hain
Shayad utne hi sadharan se hum bante ja rahe hain?

Aur iss saari kashmakash mein
Miliye mujhse

Bahut samay tak main sochta tha ki mujh mein kuch baat alag hai
Par jitna maine duniya ko samjha
Utna mujhe samajh aaya ki main bahut sadharan hun

Mere dukhon mein aisi koi khaas baat nahi hai
Mera dard bada maamuli sa hai
Meri peeda bhi badi gairdilchasp si hai

Jab mujhe inn baaton ka poori tarah se ehsaas hua
Maine apne sadharan hone ko apni sabse badi takat bana li
Aur main iss jashn ko aapke saamne pesh kar raha hun
Inn 9 geeton ke dwara

Dukh Dard Peeda
3 November
Harr jagah



Credits
Writer(s): Venugopal Shah
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link