Janamdin

Main baitha raha paas khidki ke
Jab the ghadi mein 12 baje
Woh aaye nahi, bulaye nahi
Reh leta main akela toh hoon
Har din par na kyun aate maze
Jalayi sahi shama, par bujhayi nahi

Khaali sa pada yeh kamra
Jo main ab yoon chain se
Sona chaahoon, na soun
Aawazein aati sheher se
Woh bahane bhi denge kayi
Hans ke keh dunga ke koi nahi

Main baitha raha paas khidki ke
Jab the ghadi mein 12 baje
Woh aaye nahi, bulaye nahi

Badhti yeh umar ka khayaal jaata nahi
Hai sar se mere, hai sar se mere
Jo naaz mehsoos na main ghar pe hoon kara saka
Toh asar hai dil pe mere, hai dil pe mere

Jaante hain woh yeh sabhi
Ke hoon sehma sa, na matlabi
Woh bahane bhi denge kayi
Hans ke keh dunga ke koi nahi, shh!

Main baitha raha paas khidki ke
Jab the ghadi mein 12 baje
Woh aaye nahi, bulaye nahi
Reh leta main akela toh hoon
Har din par na kyun aate maze
Jalayi sahi shama, par bujhayi nahi



Credits
Writer(s): Dikshant Jadhav
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link