Ugte Sooraj

Ugte sooraj ki tarah chamak rahi thi yahan
Ugte sooraj ki tarah chamak rahi thi yahan
Maut kyun le gayi ye tujhe aake

Kabhi tu wafa ka sheher
Kabhi insaaf dagar
Jiyein toh kaise tujhe bisraa ke

Soye-soye aise kyun khwaab dekhti hai?
Tadap rahe hum, kyun na aankh kholti hai?

Naino se dariya...
Naino se dariya na beh ke sookh jaaye
Aashaaon ka kahin rath na toot jaaye

Ugte sooraj ki tarah chamak rahi thi yahan
Maut kyun le gayi ye tujhe aake

Gham ka pahad yahan itna bada hai
Motiyon ka haar toota bikhra pada hai
Dardon ki ghata chhat jaaye, ye wo shay hai
Hai zakhm hara, bharne mein lagega samay

Ugte sooraj ki tarah chamak rahi thi yahan
Maut kyun le gayi ye tujhe aake
Soye-soye aise kyun khwaab dekhti hai?
Tadap rahe hum, kyun na aankh kholti hai?

Naino se dariya...

Ugte sooraj ki tarah chamak rahi thi yahan
Maut kyun le gayi ye tujhe aake



Credits
Writer(s): Anirudh Ravichander
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link