Naina Barse

Do I know love?
Or it's a stranger thing
I have no words
To describe my feelings

Kaise waqt guzarein
Har baat mein hi yaad aayega
Jaise tum bulaate ho
Kya waise koi bulayega?

Aaj phir se naina barse
Aaj phir se naina barse
Aaj phir se naina barse
Aaj phir se...

Tum, mai, hum
Na koi gham, the befikar
Na hi koi dard aur na hi sitam
Bhadtey rahe, na socha ki dil, ishq, aag

Dil ki kafas aur ishq ki aag
Bhool-bhulaya, na mile suraag
Teeno mile to banda ho raakh
Banda ho raakh, tabaah ho barbaad

Ab aisi hi baat, main gham ke hoon saath
Behte hain ansu aur kaampte haath
Hulya hai bigda, hai bura mizaaj
Aankhein dabi hai, hain bure halaat

Sahara un yaadon ka, beeti un baaton ka
Kaise halaat the, behte jazbaat the
Raatein udaas thi, khud se naraaz the
Zehni tanav se tabiyat na saaz thi

Kya hoga kehne se, bas mujhko sehne de
Is dil ke dard ko tu ashkon mein behne de
Teri yaad main rote mere naina tujhko tarse

Aaj phir se naina barse
Aaj phir se naina barse
Aaj phir se naina...

Ek tere-mera raha zamana
Kho gaye tum, bas raha afsana
Yaad mein teri likte rahe
Aansu chupaane ka yahi bahaana

Shikayat nahi karni mujhe
Khamosh hoon aur tum ho wajah
Himmayat nahi karni mujhe
Veerane mein hai yeh manzar saja

Tujhko main chupchaap chaahta
Tujhse main kuch nahi maangta
Yeh pyaar kaisa hai mera
Tujhse wafa main nahi mangta (thik hai)

Ab khud se nahi koi malaal
Rab se raha na koi sawaal
Khwaabon ko apne bhoola yahan
Aage badha toh hoga kamaal

Kyaa hi karein ye haal bayaan
Haalat se apni main rehta anjaan
Darta hoon kehne se kuch bhi yahan
Ro dega phirse ab ye asmaan

Kya hoga kehne se, bas mujhko sehne de
Is dil ke dard ko tu ashkon mein behne de
Teri yaad main rote mere naina tujhko tarse (barse)

Aaj phir se naina barse
Aaj phir se naina barse

Kaise waqt guzarein
Har baat mein hi yaad aayega
Jaise tum bulaate ho
Kya waise koi bulayega?

Aaj phir se naina barse
Aaj phir se naina barse



Credits
Writer(s): Farozan Nizami, Mir Tafazul, Sandesh Shandilya
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link