Pehla Pyaar (From "Kabir Singh")

Baatein zaroori hain, tera milna bhi zaroori
Maine mita deni, yeh jo teri-meri doori
Hmm, baatein zaroori hain, tera milna bhi zaroori
Maine mita deni, yeh jo teri-meri doori

Jhoothi hain woh raahein saari duniya ki
Ishq jahaan na chale
Tera hona, mera hona kya hona
Agar na donon mile?

Tu pehla-pehla pyaar hai mera
Tu pehla-pehla pyaar hai mera
Tu pehla-pehla pyaar hai mera
Tu pehla-pehla pyaar hai mera

Woh sheher bade honge boriyat bhare
Rehta nahin jin mein tu sang mere
Khabar tujhe bhi hai yeh
Raunaqein sabhi hoti tere hone se
Tere bina tanha koi kya kare?

Aise sabhi shehron pe mujhko
Taras hai aata bada
Tere liye main na jahaan khada, oh-oh

Meelon ka ho, saalon ka ho chahe woh
Safar ki parwaah nahin
Tu hai jahaan, maine wahaan hona hai
Pahunch hai jaana wahin

Tu pehla-pehla pyaar hai mera
Tu pehla-pehla pyaar hai mera
Tu pehla-pehla pyaar hai mera
Tu pehla-pehla pyaar hai mera

Jeete-jee toh jeetega na yeh faasla, hai pata
Saansein chalein teri taraf jaise chale raasta
Mera hai tu, tu hai khalish ya hai khushi, ya khata
Tere siva mera jahaan se na koi waasta



Credits
Writer(s): Irshad Kamil, Vishal Mishra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link