Maaf Karo

Ammi aur Abba mujhe maaf karo
Kal mei gussa hua aplogo pe yaad karu
To rona aajata hai kya karu apke wajhe yaha per hu
Firse kabhi hoga nahi ye galti mujhe maaf karo
Itne pyaare maa baap mile shukriya
Yah Allah tauba karta hu mei unhe dukh diya
Mere Abba jitna koi idhar smart nahi hai
Mere record label hai Woh mere liye
Choose kiya Independent rasta vo bole ispe chal
Sunta unki aaj bhi haa isliye hu safal
Khushi kya hai mere liye Paisa, izzat, shohrat nhi
Bas hasta dhike mujhe mere maa baap ka shakal

Haa mujhe maaf karo mujhe maaf karo mujhe maaf karo pyaare ammi abba

Mujhe maaf karo mujhe maaf karo mujhe maaf karo

Haa mujhe maaf karo mujhe maaf karo mujhe maaf karo pyaare ammi abba

Mujhe maaf karo mujhe maaf karo mujhe maaf karo

Asal hustler mere abba khud ka business tu banaya
Mushkil ghadi mei tune chill hona sikhaya
Sirf 200 rupay the tere jeb mei
Ghar ke kharche ke liye fir bhi tune khilona dilaya
Socha nhi kharcha kaise nikalunga
Beta jo bhi mange usse dila dunga
Rote rote likh rha hu ye wala verse mei
Khuda ne chaha pura duniya tumhe dila dunga
Chilla dunga beat pe ha, bohot mushkil jhela tu
Bachpan se ghar chalara haath gadi dhakela tu
Kyuki bina abba ke bada hua akele tu
Mera role model kon pucho aata pehla tu
Faila du chhati tera karwana hai proud tujhe
King mere life ka ha pinadu ye crown tujhe
Mohd Bilal Gani Mohd Yunus Shaikh
Ye naam humesha top pe na hone dunga down tujhe

Mujhe maaf karo mujhe maaf karo mujhe maaf karo pyaare ammi abba

Mujhe maaf karo mujhe maaf karo mujhe maaf karo

Haa mujhe maaf karo mujhe maaf karo mujhe maaf karo pyaare ammi abba

Mujhe maaf karo mujhe maaf karo mujhe maaf karo

Afreen shaikh naam mummy ka
Pyar se bulate hai shardha
Malum mujhe mummy tera life kitna hard tha
Bachpan se maa ka role nibha rahi tu
Gile zameen pe tu soti thi ha mitti ka deewar tha
Haa bhar tha sar pe tere firbhi itna pyar diya
Bhai diya vbreak ek sacha wala yaar diya
Pyar kaise karte hai koi bacho se haa sikhe tujhse
Pyar ne bhi pyar sikha tune utna pyar kiya
Kya kiya tune ek verse mei batau kaise
Laptop dilaya gullak todke jo jama the paise
Pure ghar ka kaam tu karte karte thak jati
Fir bhi tuna battati mummy pe likh dalu essay

Kaafi aaye dur, mummy meri bahadur
Strong women hai vo halatein tu nah puch
Choda padai taki tera ghar chalaye tu
Zindagi se shiksha leke mujhe vohi sikhaye tu
Laayi tu mujhe iss duniya mei shukriya
Warna mei ye ganaa kabhi likh raha hi na hota
Aaj Rani jaisa life diya tujhe khud khudane
Mujhe blesse karke warna mei sukoon se na sota
Hota jo bhi life mei uspe sabar kar tujhe dhek ke ye sikha
Kitne baar rote dekha bas bhool ja jo purani thi zindagi
Teri hassi ke liye idher gane likh rha tera beta

Haa mujhe maaf karo mujhe maaf karo mujhe maaf karo pyaare ammi abba

Mujhe maaf karo mujhe maaf karo mujhe maaf karo
Nanananana

Mujhe maaf karo mujhe maaf karo mujhe maaf karo pyaare ammi abba

Mujhe maaf karo mujhe maaf karo mujhe maaf karo
Nanananana



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link