Angaaron

"Patthar hai woh", mujhe rok-tok
Kehte hain log par mom sa hai mera jaanu
Nashtar hai woh, yahin door-door
Goonje fitoor par baadshah hai mera jaanu

Ho, kadvi hai boli, dil hai rangoli
Ismein patthar kyun log dekhte hain?
Mujhko toh dikhta hai ismein koi sanam

Angaaron ka ambar sa lagta hai mera Saami
Meri raahon mein phoolon ka rasta hai mera Saami

(Dhin, tagid-dhin-taan-dhinnna)
(Dhin, tagid-dhin-taan-dhinnna)

Ho, aag dekhi, taav dekhi iski aankhon mein sab ne
Aab dekha, khwab dekha iski aankhon mein humne
Iski moonchon mein bala ki dekhi hai shaan sab ne
Par inhi moonchon ke peeche dekhi muskaan humne

Sheron ki agar raftaar ho iski
Rehti hai uspe sab ki nazar
So jaaye jab sar god mein rakhkar
Iski thakan ka Srivalli ko ho khabar

Angaaron ka ambar sa lagta hai mera Saami
Meri raahon mein phoolon ka rasta hai mera Saami

(Dhin, tagid-dhin-taan-dhinnna)
(Dhin, tagid-dhin-taan-dhinnna)

Ho, mahnge-mahnge baante tohfe, yeh hai iski nawabi
Mujhse dar-dar ke yeh maange ek jhappi gulaabi
Masla kitna bhi ho mushkil, chutkiyon mein kare hal
Kurta iska na mile toh maange mujhse, yeh pagal

Ghar se alag baahar ki yeh duniya
Jhukti rahe iske aage
Par jab-jab ghar se nikle
Maathhe pe tilak mujhse aake maange

Angaaron ka ambar sa lagta hai mera Saami
Aisa ghar wala mil jaaye toh ghar waali maharani



Credits
Writer(s): G Devi Sri Prasad, Raqueeb Alam
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link