Taramandal

Kya tumhe bhi koi
Taaron ka guchha pasand hai
Kya tumhe bhi kabhi
Lagta hai yahi
Dekhte hue inhein
Umrein guzaari jaaye toh
Achha ho
Achha ho

Aisa hi ek hai
Taramandal tumhare chehre par
Til kahoon kyun inhein
Hain kaale kaale ye taare chehre par
Dekhte hue inhein
Umrein guzaari jaaye toh
Achha ho
Achha ho

Tara taramandal
Yeh kaale taaron ka dal
Ye tara taramandal mera

Doobe jaaun bhi toh
Gawaara hai ye daldal
Ye taara taramandal mera

Galileo ne bhi yeh socha nahin hoga
Ke is zameen pe yeh nazaara kahin hoga
Hai antariksh ka kahin kendra-bindu toh
Tu abhi jahaan kahin hai wahin hoga

Chaand sooraj grahon mein nahin hai
Isi mein likha hai mera kal
Toote taaron se ulkaaon se maangna kya
Isi mein hain saare hal
Isi mein hain saare hal

Tara taramandal
Yeh kaale taaron ka dal
Ye tara taramandal mera

Doobe jaaun bhi toh
Gawaara hai ye daldal
Ye taara taramandal mera



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link