Yaaron Sun Lo Zara

Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Jeena ho to appun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla nahin na sahi na sahi
Bank balance nahin na sahi na sahi
TV video nahin na sahi na sahi
Suiting shirting nahin na sahi na sahi
Inki humko kyon ho fikar
Jee lo jaise mast kalandar

Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Jeena ho to appun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla agar ho to kya baat hai
Bank balance se rangeen din raat hai
TV video agar hai to kya hai maza
Dressing hessing se kuchh aur thaath hai
Inki karlo kuchh to kadar
Yaaro thoda jaao sudhar

Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Jeena ho to appun ke jaise hi jeena

Humko dekho hum hain yaara apni marzi ke raaja
Duniya bole to maza hai na kaho khud ko raaja
Naam appun ka munna bhai hum kmarein vo jo dil mein samaaye
Arre dhanda kiya na kiya kya fikar
Kaun aaya gaya duniya mein kya khabar
Is duniya se tum jo rahe bekhabar
Kabhi duniya tumhein na bhulaaye

Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Jeena ho to appun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla nahin na sahi na sahi
Bank balance nahin na sahi na sahi
TV video nahin na sahi na sahi
Suiting shirting nahin na sahi na sahi
Inki karlo kuchh to kadar
Yaaro thoda jaao sudhar

Kal ka kya hai kisne dekha hum to aaj mein jeete hain
Jinmein himmat hai nahin vo aisi baatein karte hain
Uski to tum baat na karna humko dada sub kehte hain
Arre sheron ke jaisa hai apna jigar
Ooncha hi raha hai sada apna sar
Sar se jyaada oonchi rahe ye nazar
Aasmaan bhi to sar ko jhukaye

Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Jeena ho to appun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla agar ho to kya baat hai
Bank balance se rangeen din raat hai
TV video agar hai to kya hai maza
Dressing hessing se kuchh aur thaath hai
Inki humko kyon ho fikar
Jee lo jaise mast kalandar

Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Hey jeena ho to appun ke jaise hi jeena



Credits
Writer(s): Mehboob, A.r. Rahman
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link