Noor E Khuda

Noor-e-khuda, whoa
Whoa, noor-e-khuda

Ajnabi mod hai, khauf har ore hai
Har nazar pe dhhuan chha gaya
Pal-bhar mein jaane kya kho gaya
Umm, aasmaan zard hai, aahein bhi sard hain
Kabse saaya juda hogaya
Hmm, pal-bhar mein jaane kya kho gaya

Saans ruk si gayi, jism chhil sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe tera jahaan chal diya

Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Tu kahan chhupa hai, humein yeh bata?
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Yoon na humse nazrein phira

Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Tu kahan chhupa hai, humein yeh bata?
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Yoon na humse nazrein phira, noor-e-khuda

(Noor-e-khuda)

Ho, nazar-e-karam farma hi de
Oh, deen-o-dharam ko jaga hi de
Oh, jalti huyi tanhaaiyan, roothi huyi parchhaiyan
Kaisi udi yeh hawa, chhaya yeh kaisa samaa

Hmm, rooh jam si gayi, waqt tham sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe tera jahaan chal diya

Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Tu kahan chhupa hai, humein yeh bata?
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Yoon na humse nazrein phira, noor-e-khuda

Ujde se lamhon ko aas teri
Zakhmi dilon ko hai pyaas teri
Har dhadkan ko talash teri
Tera milta nahin hai pata

Khaali lage, khud se sawaal karein
Aman ki cheekh behaal karein
Behta lahu fariyaad karein
Tera mit'ta chala hai nishaan

Rooh jam si gayi, waqt tham sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe tera jahaan chal diya

Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Tu kahan chhupa hai, humein yeh bata?
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Yoon na humse nazrein phira, noor-e-khuda

Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Aaj-kal tu kahan hai, ye bata?
Noor-e-khuda, noor-e-khuda (noor-e-khuda)
Aaj-kal tu kahan hai, ye bata? (ya khuda)

Noor-e-khuda, noor-e-khuda (noor-e-khuda, noor-e-khuda)
Aaj-kal tu kahan hai, ye bata?
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Aaj-kal tu kahan hai, ye bata?

Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Kya yeh sach hai ki tu hai humse khafa?
Noor-e-khuda



Credits
Writer(s): Niranjan Iyengar, Aloyius Mendonsa, Ehsaan Noorani, Shankar Mahadevan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link