Rupaiya

Babul pyaare, sajna, sakha re
Suno, meri maiya
Bojh nahi main kisi ke sar ka
Na majhdhaar mein naiya

Patwaar banungi
Lehron se ladungi

Are, mujhe kya bechega rupaiya
Ho, are, mujhe kya bechega rupaiya, ho, ho, ho

Kal baba ki ungli ko thaame chali thi
Kal baba ki laathi bhi ban jaaungi
Amma, tere gharaunde ki chidiya hoon main
Dana lekar he wapas ghar aaungi

Jiski fitrat mein hairat samayi nahi
Jisko daulat se zyada main bhayi nahi
Aise saajan ki mujhko zaroorat nahi
"Na" kehne ka, sun lo, muhurat yahi

Akeli chalungi
Qismat se milungi

Are, mujhe kya bechega rupaiya
Ho, are, mujhe kya bechega rupaiya, ho, ho, ho

Dil se dil ke taar to jude nahi
Do rasmon pe daulat ye kaahe bahe?
Hum to pyaar ki khwaahish mein rishte bune
Wo rishton mein laalach hum kaahe sahe?

Kya shadi ke aage zindagi he nahi?
Jo shadi hisaabon ki kewal hai bahi
Aisi shadi ki mujhko zaroorat nahi
"Na" kehne ka, sun lo, muhurat yahi

Subah si khilungi
Ratiya si dharungi

Are, mujhe kya bechega rupaiya
Ho, are, mujhe kya bechega rupaiya, ho

Babul pyaare, sajna, sakha re
Suno, meri maiya
Bojh nahi main kisi ke sar ka
Na majhdhaar mein naiya

Patwaar banungi
Lehron se ladungi

Are, mujhe kya bechega rupaiya
Ho, are, mujhe kya bechega rupaiya, ho, ho, ho



Credits
Writer(s): Ram Sampath, Swanand Kirkire
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link