Ye Tune Kya Kiya

Ishq woh bala hai, ishq woh bala hai
Jisko chhua isne woh jala hai
Dil se hota hai shuru, dil se hota hai shuru
Par kambakht sar pe chadha hai

Kabhi khud se, kabhi Khuda se
Kabhi zamaane se lada hai
Itna hua badnaam, phir bhi
Har zubaan pe ada hai

Ishq ki saazishein, ishq ki baaziyaan
Haara main khel ke do dilon ka jua

Kyun tune meri fursat ki? Kyun dil mein itni harkat ki?
Ishaq mein itni barkat ki, ye tune kya kiya?
Phirun ab maara-maara main, chaand se bichhda tara main
Dil se itna kyun haara main? Ye tune kya kiya?

Saari duniya se jeet ke main aaya hoon idhar
Tere aage hi main haara, kiya tune kya asar?

Main dil ka raaz kehta hoon
Ki jab-jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon, ye tune kya kiya?

Meri baanhon ko teri saanson ki jo aadatein lagi hain aisi
Jee leta hoon ab main thoda aur
Mere dil ki ret pe aankhon ki jo pade parchhaayi teri
Pee leta hoon tab main thoda aur

Jaane kaun hai tu meri, main na jaanun ye, magar
Jahan jaaun main, karoon main wahan tera hi zikar

Mujhe tu raazi lagti hai, jeeti hui baazi lagti hai
Tabiyat taazi lagti hai, ye tune kya kiya?
Main dil ka raaz kehta hoon, ki jab-jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon, ye tune kya kiya?

Dil karta hai teri baatein sunoon
Saude main adhoore chunoon, muft ka hua ye faayda
Kyun khud ko main barbaad karoon?
Fanaa hoke tujh se miloon, ishq ka ajab hai qaida

Teri raahon se jo guzri hai meri dagar
Main bhi aage badh gaya hoon hoke thoda befikar

Kaho toh, kis se marzi loon?
Kaho toh, kisko arzi doon?
Hansta ab thoda farzi hoon
Ye tune kya kiya?

(Main dil ka raaz kehta hoon)
(Ki jab-jab saansein leta hoon...)
Ishq ki saazishein, ishq ki baaziyaan
(Chaand se bichhda taara main...)
Haara main khel ke do dilon ka jua



Credits
Writer(s): Pritam Chakraborty, Arora Rajat
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link