Us Mod Se Shuroo Karen

Us mod se shuroo karein phir yeh zindagi

Har shay jahaan haseen thi, hum-tum the ajnabi

Lekar chale the hum jinhein, jannat ke khwaab the

Phoolon ke khwaab the, woh mohabbat ke khwaab the

Lekin kahaan hai inmein woh pehli si dilkashi
Us mod se shuroo karein phir yeh zindagi

Rehte the hum haseen khayaalon ki bheed mein

Uljhe huye hain aaj sawaalon ki bheed mein

Aane lagi hai yaad woh fursat ki har ghadi
Us mod se shuroo karein phir yeh zindagi
Har shay jahaan haseen thi, hum-tum the ajnabi
Us mod se shuroo karein phir yeh zindagi

Shayad yeh waqt humse koyi chaal chal gaya

Rishta wafa ka aur hi rangon mein dhal gaya

Ashkon ki chaandni se thi behtar woh dhoop hi
Us mod se shuroo karein phir yeh zindagi
Har shay jahaan haseen thi, hum-tum the ajnabi
Us mod se shuroo karein phir yeh zindagi

Credits
Writer(s): Jagjit Singh, Sudarshan Faakir
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link