Chet (2004 Digital Remaster)

It's hot right now. aanh!
Let's go!

Swag se bharpoor
Mujhe kalaa ka guroor
Competition se aage chalne walon se koso door
Meri beamer 220 par
Rear-view mirror mein koi nahi dikh raha
Mera maal bik raha
Mujhe mat sikha,
Tu khud dekh kya tu likh raha
Badshah ke aage koi bhi toh nahi tik raha
Swagger – ✓ check
Gaadi – ✓ check
Teri bandi – ✓ check
Paisa – cash
Karoon cash kyun, karoon use card main
Paise ki baat na ho to kripya jaaye bhaad mein

Galaa kharab par zubaan kharab nahi
Sar mein dard lekin dimag kharab nahi
Peeta nahi lekin phir bhi mere bar mein bete
Jo na ho aisi koi bhi sharab nahi
Show pe show mere rahe hain ho mujhse
Jalne wale apne hosh rahe kho rahe
Kho mujhe dekh kar wo apna aapa
Unke bacche mujh mein dekhte hain apna papa

Siyapa le liya maine rap karke
Meri piche pad gayi duniya
Dekho mere rap karke
Do time ki roti nahi milti logon ko rap karke
Lekin maine kamaye karodon bete rap karke

Kyunki fark hai, logon ke rap baasi
Mera rap jaise taazi kaju ki barfi par
Chandi ka varak hai
Lambi ye sadak hai
Tumhari gaadi slow
Mere paas mercedes, woh bhi do do
Ek mein main
Ek mein mere yaar dost

Zyada log nahi bas yehi do chaar dost
Kyunki zyada logon se meri baat-cheet nahi hai
Par jitto se bhi baatcheet hai baatcheet sahi hai
Industry saaf hai par industry wale hain gande
Munh pe bhai par dil ke kaale hain bande
Kisi ko problem mein dekh ke ho jaate andhe
Mera rap unke gale mein padne wale fande

Main apne kaam se kaam rakhun
Faaltu ki baatein nahi
Paise ki baat ho toh baaton pe dhyan rakhun
Gurde mein jaan rakhun
Aatma-samman rakhun
Chale jab raaton ko sone na de
Mujhse jalne walon ko aisi main zabaan rakhun
Rap ghamasan likhun bada sa makaann rakhun
Jalne wale jo na bole
Main wo sun'ne wale kaan rakhun
Chota vaayuyaan rakhun
Tere career ko mitti karne wale
Rap'on ki dukaan rakhun
Kabhi bhi na fatne wale gaad rakhun
Apni upar taang rakhun
Doston par dene waali jaan rakhun
Yeah yeah yeah... aanh

Kam zyada nahi sab rakhun thik thik
Main sununga nahi
Tu thak jaayega cheekh cheekh
Main main bana hoon zindagi se seekh seekh
Tabhi me hun strong strong or tu hai weak-weak

Har week mere baare kuch na kuch chhape
Internet magazines akhbaaron waale
Mujhse interview mein puchein aise se sawaal
Jaise mere liye buna ja raha ho koi jaal

Jaise mujhse sunna chahe kuch sansani khej
Jaise kya sach me maine likhe gaane Honey ke
Kaise rishte mere Sony Music company ke
Na jaane aise kitne sawaal funny se

Par me sab samajhta hun aakhir unka kaam hai
Naam na lunga kyunki aakhir unka naam hai
Mehanga bada daam hai dimag ke aaram ka
Faltu ke pango mein main padhta nahi khamkha

It's your boy Badshah naam sabko yaad hai
Mujhse jalne wala agle saal barbaad hai



Credits
Writer(s): Pierre Michelot
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link