Bol Radha Bol

Mere man kee ganga aur tere man kee jamunaa ka
Bol, raadha, bol sangam hoga ki nahin?
Mere man kee ganga aur tere man kee jamunaa ka
Bol, raadha, bol sangam hoga ki nahin?
Are, bol, raadha, bol sangam hoga ki nahin?
Nahin, kabhi nahin

Kitni sadiyaan biit gayi hain, haay, tuje samjhaane mein
Mere jesaa dhiraj waalaa hai koyi aur zamaane mein?

Dil ka badhata boj kabhi kam hoga ki nahin?
Bol, raadha, bol sangam hoga ki nahin?
Mere man kee ganga aur tere man kee jamunaa ka
Bol, raadha, bol sangam hoga ki nahin?
Are, bol, raadha, bol sangam hoga ki nahin?
(Hahahaha! jaa, jaa)

Do nadiyon ka mail agar itana paavan kehalaata hai
Kyun naa jahaan do dil milte hain swarg vahaan bas jaataa hai

Har mausam hai, pyaar ka mausam hoga ki nahin?
Bol, raadha, bol sangam hoga ki nahin?
Mere man kee ganga aur tere man kee jamunaa ka
Bol, raadha, bol sangam hoga ki nahin?
Are, bol, raadha, bol sangam hoga ki nahin?
Nahin nahin nahin hat

Teri khaatir main tadapaa jyon tarase dharti saavan ko
"raadha, raadha," ek raton hai saans kee aavan-jaavan ko

Pathar pighale, dil tera nam hoga ki nahin?
Bol, raadha, bol sangam hoga ki nahin?
Mere man kee ganga aur tere man kee jamunaa ka
Bol, raadha, bol sangam hoga ki nahin?
Are, bol, raadha, bol sangam hoga ki nahin?
(Huh, jaao naa, kyun sataate ho? hoga, hoga, hoga)



Credits
Writer(s): Singh Shankar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link