Taariyan

Lafz Kitne Tere Pairon Se Lipte Honge
Tune Jab Aakhri Khat Mera Jalaya Hoga
Tune Jab Phool Kitaabon Se Nikaale Honge
Dene Waala Bhi Tujhe Yaad Toh Aaya Hoga

Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha
Mohabbat Bhi Zaroori Thi
Bichhadna Bhi Zaroori Tha
Zaroori Tha Ke Hum Dono
Tawafein Aarzoo Karte
Magar Phir Aarzuon Ka
Bikharna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha

Bataao Yaad Hai Tumko
Woh Jab Dil Ko Churaya Tha
Churaayi Cheez Ko Tumne
Khuda Ka Ghar Banaya Tha
Woh Jab Kehte Thhe
Mera Naam Tum Tasbih Mein Padhte Ho
Mohabbat Ki Namaazon Ko
Kaza Karne Se Darte Ho
Magar Ab Yaad Aata Hai
Woh Baatein Thi Mahez Baatein
Kahin Baaton Hi Baaton Mein
Mukarna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha

Wahi Hai Sooratein Apni
Wahi Main Hoon Wahi Tum Ho
Magar Khoya Huaa Hoon Main
Magar Tum Bhi Kahin Gum Ho
Mohabbat Mein Daga Ki Thi
So Kaafir The So Kaafir Hain
Mili Hain Manzilein Phir Bhi
Musaafir Thhe Musaafir Hain
Tere Dil Ke Nikaale Hum
Kahaan Bhatke, Kahaan Pahunche
Magar Bhatke Toh Yaad Aaya
Bhatakna Bhi Zaroori Tha
Mohabbat Bhi Zaroori Thi
Bichhadna Bhi Zaroori Tha
Zaroori Tha Ke Hum Dono
Tawafein Aarzoo Karte
Magar Phir Aarzuon Ka
Bikharna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha



Credits
Writer(s): Bagga, Meenu, Sahir Ali Bagga, Farjad
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link