Hum Hindustani

Chodo kal kii baaten, kal kii baat puraani
Nae daur main likhenge, mil kar nai kahani

Aaj puraani zanjiron ko tod chuke hai
Kya dekhen us manzil ko jo chhod chuke hai
Chaand ke dar pe ja pahunchaa he aaj zamana
Nae jagat se ham bhi naata jod chuke hai
Nayaa khun he nai umangen, ab he nai javaani

Chodo kal kii baaten, kal kii baat puraani
Nae daur main likhenge, mil kar nai kahani

Hamako kitne tajmahal hai or banane
Kitne hi ajanta hamako or sajaane
Abhi palatnaa he rukh kitne dariyaaon kaa
Kitne pavart rahon se hai aaj hataane
Nayaa khun he nai umangen, ab he nai javaani

Chodo kal kii baaten, kal kii baat puraani
Nae daur main likhenge, mil kar nai kahani

Aao mehnat ko apana imaan banaayen
Apane haathon ko apana bhagwaan banaayen
Ram kii is dharti ko gautam kii bhumi ko

Nayaa khun he nai umangen, ab he nai javaani

Chodo kal kii baaten, kal kii baat puraani
Nae daur main likhenge, mil kar nai kahani

Har zarraa he moti aankh uthaakar dekho
Maati main sona he haath badhaakar dekho
Sone kii ye ganga he chaandi kii yamuna
Chaaho to pathar se dhan ugaakar dekho
Nayaa khun he nai umangen, ab he nai javaani

Chodo kal kii baaten, kal kii baat puraani
Nae daur main likhenge, mil kar nai kahani

Credits
Writer(s): Usha Khanna, Prem Dhawan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link