Hum Buton Ko Jo Pyar Karte Hain

Zulf e barham sambhal kar chaliye
Rasta Dekh bhal kar chaliye
Mausam e Gul hai apni baahon ko
Meri Baahon mein daal kar chaliye
Misal o mavra hone se pehle
Khuda kya tha khuda hone se pehle
Tabiyat ko tabiyat se badal lo
Tabiyat aashna hone se pehle
Baja hone ki hai sirf ek Surat
Galat hoja baja hone se pehle
Muskura kar khatab karte ko
Aadatein kyon khatab karte ho
Ho chuka Jo hisab hona hai
Aur Ab kya hisab karte ho
Ye nayi ehteyat dekhi hai
Ayine se hijab karte ho
Ek din e Adam na pi to kya
Roz Sagle sharaab karte ho
Roshni ko sharab kehte hain
Jaam ko aaftab kehte hain
Rukh ko parde mein dhampne walon
Husn ko be naqab kehte hain
Jinke dil iena sifat ho agam
Unko ehle kitab kehte hain
Hum buton ko Jo pyar karte hain
Naql e parwardigar karte hain
Kya mohabbat bhi koi pesha hai
Log kyun itne pyar karte hain
Itni kasmein na khao ghabrakar
Jao hum aitbar karte hain
Ab bhi aa jao kuch nahi bigra
Ab bhi hum intezaar karte hain
Dushmani gair to nahi karte
Ye sharafat to yaar karte hain
Tu khafa ho ya khush magar hum to
Wakahi tujhse pyar karte hain
Khoobiyon ko bhi kadar daan adam
Khamiyon mein shumar karte hain
Saaz e hasti baja raha hoon main
Jashn e masti mana raha hoon main
Kya Ada hai nisar hone ki
Unse pehlu bacha raha hoon main
Kitni pukhta hai meri naadani
Tujhko tujhse chchupa raha hoon Main
Dil dubota hoon chashm e saaki main
Mai to mai mein mila raha hoon main
Aapko jeetne ke dhokhe mein
Jaan ki baazi laga raha hoon main
Unko milne ki aarzoo mein adam
Apne nazdeek aa raha hoon main
Hum buton ko Jo pyar karte hain
Naql e parwardigar karte hain



Credits
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link