Aye Zindagi

Aey zindagi main dhoondhoon kahan Tujhe dhoondhoon kahan
Nadiya ki lehroon main
Apnon main ghairoon main
Phoolon main Kaliyon main
Sapnon ki galiyon main
Titli k rangoon main
Urti patungoon main
Khilte gulaboon main
Behte chanaboon main
Saat aasmanon main
Saare jahanoon main
Aawaaaaaz de Aawaaaaaz de tu hai jahan
Aaey zindagi main dhoondhoon kahan Tujhe dhoondhoon kahan
Dekha nahi hai phir bhi teri soorat bunti rehti hoon
Dekha nahi hai phir bhi teri soorat bunti rehti hoon
Teri aankhon ki apne dil par dastak sunti rehti hoon
Koyal ki koo koo main
sandal ki khushboo main
Badal k aanchal main
Har lamha har pul main
Gaon k punghut pe
Baliyon ki chaukhat pe
Barfeeli raahon main
Pairron ki baanhon main
Saat aasmanon main Saare jahanoon main
Aawaaaaaz de Aawaaaaaz de tu hai jahan
Aaey zindagi main dhoondhoon kahan
Tujhe dhoondhoon kahan
Pehle pyaar ki aaj bhi yaadain mujhko rulaane aati hain
Hoo Pehle pyaar ki aaj bhi yadain mujhko rulane aati hain
Bujhti raakh kuraid k phir se dard jagane aati hain
Ashkon ki galiyon main Sawan ki jhariyon main
Khamosh sagar main Kohre ki chadar main
Hathoon ki lakeeron main Ujri tasweeroon main
Sulge angaroon main hijr k maaroon main
Saat aasmanon main Saare jahanoon main
Aawaaaaaz de Aawaaaaaz de tu hai jahan
Aaey zindagi main dhoondhoon kahan Tujhe dhoondhoon kahan
Meethi meethi yeh jo kasak hai
Shayad pehla pyaar hai yeh
mm Meethi meethi yeh jo kasak hai
Shayad pehla pyaar hai yeh
Saanson main jo anjaane mehak hai
Shayad pehla pyaar hai yeh
Is rus bhare mausam main
Sholon main shabnum main
Chandni raaton main
Bheegi barsaaton main
Naoo main pani main
Bhooli kahani main
Papeehe k taalon main
Sur ki uranoon main
Saat aasmanon main Saare jahanoon main
Aawaaaaaz de Aawaaaaaz de tu hai kahan
Aey zindagi main dhoondhoon kahan Tujhe dhoondhoon kahan



Credits
Writer(s): Fariha Pervez
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link