Medha-Deepak Chopra Introduction

Chota shehar unka
Shimla tha ghar unka

Milna wo chahte thhe par
Mil naa wo paate thhe
Chaukhat pe hum bhi unki
Jagte so jaate the

Koi toh aayega
Sandesa layega
Haalat unki koi
Humko batlayega phir
Naino ki kashti se
Aayi ik chitthi thi
Kuch kehte the woh
Kuch kehti unki mitti thi.

Tu aaiyo re aaiyo
Tu aake humein le jaiyo
Tu aaiyo re aaiyo
Tu aa ke humein le jaiyo re
Apne jahan, apne jahan o.
Apne jahan, apne jahan aa...

Shimla waalon ne bhi
Apna tha maan liya
Unke ghar ke aage phir
Dera tha jamaa liya
Roothe the humse jo
Unko bhi mana liya
Pee ko lekar jayenge
Sabko batla diya

Tup tup aankhein uski roti thi
Chup wo hai jo naa hoti thi
Kehti mere apno ke dil mein bhi jagah banaiyo

Tu aaiyo re aaiyo
Tu aa ke humein le jaiyo
Tu aaiyo re aaiyo
Tu aa ke humein le jaiyo re
Apne jahan, apne jahan o.
Apne jahan, apne jahan aa.

Woh thandi mitti
Woh barf ki chaadar
Woh seb ki khushboo
Woh unki aadat

Do bheege naina
Kuch na kehna
Meri wajah se
Sab kuch sehna

Tup tup ankhein uski roti thi
Chup wo hai jo naa hoti thi
Kehti mere apno ke dil mein bhi jagah banaiyo.

Tu aaiyo, tu aaiyo
Tu aaiyo re aaiyo
Tu aaiyo re aaiyo
Tu aaiyo re aaiyo

Tu aake humein le jaiyo re
Apne jahan, apne jahan o.
Apne jahan, apne jahan aa.

Tu aaiyo re aaiyo
Tu aa ke hume le jaiyo
Tu aaiyo re aaiyo
Tu aa ke hume le jaiyo re

Apne jahan, apne jahan
Apne jahan, apne jahan



Credits
Writer(s): Deepak K. Chopra, Adam S Plack
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link